~ 2 Years of Separation

3252 views 42 replies
Reply to Topic
~Fragi~

Age: 42
Total Posts: 64603
Points: 0

Location:
Neutral Zone,
kahan eik din ek lamha guzarna mushkil ho jata tha aur kahan aaj 730 days ho gaye hain

na meri tab consent thee separation mein na hee aaj

log itna badal jatey hain k woh 730 days k baad awaz b nahi pehchantey aur apney aap ko tasleem karney sey inkaar kar detey hain

mein tu already yeh promise apney aap aur apney ghar waloon sey kar chuka hoon k mein us kee yaadoon k saath tu reh loon ga per us kee jaga per kissi aur ko nahi dey sakta

i want to reconcile

yeh 2 years jaisey meiney guzarey hain mujhe pata hai aur guzartey lamhoon k saath mera piyar aur mera yakeen ghera hoya hia


kash koi yaakeen kar ley mera

kash kash kash


aur kash us ko yakeen ajaye k mein itna bura nahi jitna woh aur us k ghar waley samajhtey hain
Posted 19 Mar 2008

~Fragi~ said:

yeh 2 years jaisey meiney guzarey hain mujhe pata hai



mujhe b shyad thora bohat pata hai fragi baba.
insan srf nafs ka ghulam ha khuda pe yakeen rkhy to .........
Posted 19 Mar 2008

Agr Allah koi cheez na day ya day k chen lay to behtreen wo hai jo phr b shukr kary ya atleat sabar to kary.
q k insan Allah ki maslihat nai smjhta.haan kch wqt guzarny k baad insan ko ehsas hota hai k us kliay Allah pak ny kitna behtar kia.

insan apny liy srf behtr ka sochta hai jub k Allah pak ny us kliy behtreen rkha hota ha.
Allah taala ny agr usy apka nahi kia to apko uska behtreen subtitute ata farmaen.

muhabat pe hamain b bhrosa hua krta tha bt khud pr ya muhabat per bhrosa krny ki bjaey Allah pe bhrosa krna chaey.

insan dosry insan ko kch ni dy skta mangna ho to Allah ki zaat sy mangna chaey
Posted 19 Mar 2008

jin sy muhabat ho un ko mazi may ghseet ghseet k aziat ni dia krty
un k achy present n future ki dua krty hain.

apko Allah e smjh dy yar
Posted 19 Mar 2008

~Fragi~ said:



mein tu already yeh promise apney aap aur apney ghar waloon sey kar chuka hoon k mein us kee yaadoon k saath tu reh loon ga per us kee jaga per kissi aur ko nahi dey sakta


uski jgah ksi or ko na deny sy mtlb ha k ap shadi e ni krengy

asy to double gunah o ga.
aik to sunat sy inheraaf or doosra.....u knw wt i mean
Posted 19 Mar 2008

~Fragi~ says
mein kisi ko mazi mein nahi ghaseet raha

but jis karb o takleef mein mein hoon sirf mujhe hee pata hai
Posted 19 Mar 2008

nai kher apki so called takaleef ka to mje b pta ha
Posted 19 Mar 2008

Jo mil kar khud say kho jaey
usy ruswa nahi karty

jisay shafaf rakhna ho
usay maila nahi karty
Posted 19 Mar 2008

sun_shine says
I think if she feels the same
then aap Dono ko aik saath ho jana chahiye
Per agar aap dono k views is faislay per bhi aik jaisay nahi to I think aap apni zindagi jiye aur unko apni alag life jeenay dain.
Life main koi bhi cheez expected nahi hoti
hamain logo say expectations zaroor hoti hain
I think now aapko apni aik nayee life shoru karni chahiye,Apni life main khushiyan dhondhay
May Allah swt Bless you Ameen
Posted 19 Mar 2008

cheeta says
ufff not dat easy SS


khair fragi nay ajj phir say kuch yadien taza ker deen
Posted 19 Mar 2008

sun_shine says
yaa I can understand its not easy
Its very difficult but Try to be happy in ur life.
Posted 19 Mar 2008

kisay da yaar na vichrayyyyyyyyyyy
Posted 20 Mar 2008

Rapunzel says
hmmmmmmmmmmmmmmm
Posted 20 Mar 2008

~Fragi~ says
but it really hurts
Posted 24 Mar 2008

Cathy says
sun_shine said:

I think if she feels the same
then aap Dono ko aik saath ho jana chahiye
Per agar aap dono k views is faislay per bhi aik jaisay nahi to I think aap apni zindagi jiye aur unko apni alag life jeenay dain.
Life main koi bhi cheez expected nahi hoti
hamain logo say expectations zaroor hoti hain
I think now aapko apni aik nayee life shoru karni chahiye,Apni life main khushiyan dhondhay
May Allah swt Bless you Ameen


so true...agher koi aap se pyaar nahi kerta ..toh zabardasti intezaar kerna bewaqoofi hay..!

I knoe dil nahi manta hoga..lekin jahan itnay log samjhanay kay liyeh hayn ...unmein se aik ki baat hee maan lain :S
Posted 25 Mar 2008

sun_shine says
yaa I also Think the same
Kisi kay chalay janay say Life nahi rukti
Apni Life khud banaye
Be happy in ur present
Allah swt Bless you
   
Posted 25 Mar 2008

~Fragi~ says
i think bus kehna asan hota hai .. haqeeqat mein aisa nai hota
Posted 27 Mar 2008

sun_shine says
yaa right
karna mushkil sahi per na mumkin nahi hain
apki Life aapkay apnay haaton main hain
Posted 27 Mar 2008

~Fragi~ says
but jab sab kuch blank ho jaye tu banda kya kar sakta hai kiya soch sakta hai
Posted 02 Apr 2008

sun_shine says
Salaam
sab Kuch blank nahi hain
apki problem ka koi na koi hal zaroor hain
Per aap shayad Us angle say soch nahi pa rahay.
Kehtay hain k
jab koi door band ho jata hain
Uski jaga aik aur door khul jata hain
per Aksar hum closed door ko dekhtay rehtay hain
k hamain Open door nazar nahi aa pata.
So Practically apni Problem ko solve karnay Ki koshish karay
InshAllah aapko kamyaabi hogi
Posted 02 Apr 2008

~Fragi~ says
hmm sahi kaha ... per kiya karien kabhi kabhi insaan kee akal per parda perh jata hai
Posted 02 Apr 2008

~Fragi~ said:

but jab sab kuch blank ho jaye tu banda kya kar sakta hai kiya soch sakta hai



ap soch b skty thy kabi??
Posted 02 Apr 2008

~Fragi~ says
yehi tu ek kaam hai jo mein kar sakta hoon
Posted 03 Apr 2008

sun_shine says
yaa per aap apnay good friends ya apnay parents say bhi mashwara kar saktay hain
Posted 03 Apr 2008

~Fragi~ said:

yehi tu ek kaam hai jo mein kar sakta hoon

meanz amlan kuch ni kr skty
Posted 04 Apr 2008

~Fragi~ says
amlan chaha b socha b per woh saath deti tu sai
Posted 04 Apr 2008

yar har bat ka ilzam doosron pe ni dety.

jb bnda thaan ly to bs kr guzarta ha.
Posted 04 Apr 2008

sun_shine says
yess
Himmat e Marda
Madad e Khuda
Posted 05 Apr 2008

~Fragi~ says
but aab dair ho gayee
Posted 05 Apr 2008

munir niazi yaad aa gaey

hamesha dair kar deta hoon.

ap pe fit hai ye nazm
Posted 05 Apr 2008

sun_shine says
Dair huee hain per Alhamdulilah Life hain
you can make ur life very better inshAllah
jo hua so hua
so now aap apni life ko mazi ki yaadon main barbaad na karay.if there is one reason which makes u cry so there are hundred reasons which will give u smile
so search fo happiness
InshAllah everything will be all right
you are also a Son,a brother,a friend
Posted 06 Apr 2008

Reply to Topic