*Suna hai, shikaar e khizaan ho ker bahar ki rut main jo shajar sookh jatey hain woh phir harey nahee hotey
Suna hai, wafa deemak ban ker jinhen chaat jati hai woh wafaoon key peker kuch aesey bikhartey hain key kirchioon main bhi phir unka pata nahee milta
Suna hai, kabhi ye rut aesey bhi badalti hai key sarey meherbaa lafz yekdam kaheen kho jatey hain aur kisi meherbaa si saa at ka koi sira nahee milta
Suna hai, jab wojood reza hota hai to toot phoot buhut beawaz hoti hai faqat aik khamoosh sa mausam aik sunsaan sa rasta aik weeraan si saa'at aur aik gumnaam sa lamha yun hamsafar hotey hain goya sadiyoon ki rafaqat ho
Suna hai, aandhiion ki zad main aa ker phool jo bikhar jayen woh phir simta nahee kertey Kisi pur ranj si sa'at ka jo nishana ban key kho jayen woh phir palta nahee kertey
Aey charagar, suna to main ney ye sab kuch hai magar meri duayeen hain aik silsila meri umeed hai mera hosla Mujhey mojzoon pey yaqeen hai! Mujhey mojzoon pey yaqeen hai!!!!!!