Verity of Shairies :)

1043 views 12 replies
Reply to Topic
TaSHi

Age: 124
Total Posts: 610
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom
1) mohabbat jis ko kehtay hain baree naazukh hotee hai
faqat aik baar hotee hai khooloosay dil say hotee hai


2) jo tha makhooz meray dast vapa say
woh hi maanga mai nay faqat khuda say

3) bulbul ko gul pasand hai gul ko pasand hai tuu
tujh ko kiya pasand hai mujh ko pasand hai tuu

4) phoolon mai phool hai gulaab ka
jis mai chehra milta hai aap ka

5) kon kehta hai kay mulaqaat nahi hotee
roz miltay hain magar baat nahi hotee :)

6) tere saadgi mai etna husun hai tera seenghar kaisa ho ga
tera ghussa etna piyaraa hai tera piyaar kaisa ho gaa

7 marnay ka teray gum mai erada bhi nahi hai
hai ishq magar etna ziyada bhi nahi hai
kiyoon deakhtay rehtay hain seetaro ki taraf
jab en say mulqat ka wada bhi nahi hai
kiyoon es ki taraf deakh kar paoon uth tay hain
woh shaks haseen etna ziyada bhi nahi hai


8) yehi wafa ka sila hai to koi baat nahi
yeh dard tum nay diyaa hai to koi baat nahi
yehi bohat hai kay tum deakhtay ho saahil say
saafeena doob raha hai to koi baat nahi


9) dil lay kar kehtay hain kay kuch kaam ka nahi
dil to gaya phirr kuch ehsaan bhi nahii


10)jis ki aankhain mujhay under say bhi parh saktii hoo
koi chehra to mujhay shehar mai aeas la doo

11)umer etni to ata kar meray fan ko khaaleeq
mera dushman meray marnay ki khabar ko tarsay

12)hum nay rotee hoey aankho ko haansaya hai sda
es say behtar to ebadat nahi ho gee hum say

13)bohat mauoos betha hoon mai tum say
kabhi akar mujhay herat mai daloo

14)kiyoon muqaddar mai meray dukh dard hi likhta raha
aik din poochoon ge ja kar kateebay taqdeer say

15)na janay kon sa aansoo kisi say kiya keh day
hum es khayal say nazrain jhukai bethayn hain

16)es dukh bhareey hayaat ki mehroomiaa na pooch
kiya kiya tujhay batain kiya kiya na ho saka

17)atee hai yaad aksar rotay hain bay basee main
aik bay wafa ko hum nay chaha tha zindagee main

18) ishq karnay k bhi kuch adaab huwa kartay hain
   nami aankho main dekhay yeh zaroore to nahi
   sukhi aankho main bhi selaab huwa kartay hain

Regard

Tashi(F)


[colored][colored][colored][colored][colored][colored][colored][colored][colored][colored][colored][colored][colored][colored][colored][colored][colored][colored][colored][colored][colored]
Posted 24 Aug 2003

Reply to Topic