Betiyaan Phool hain...!

8429 views 13 replies
Reply to Topic
sun_shine

Age: 125
Total Posts: 13494
Points: 0

Location:
Afghanistan, Afghanistan
Assalam O Alaikum



   
Posted 11 Sep 2008

Rapunzel says
Waalaikum Assalam



mein ne kuch arsa pahle aik story parhi thi is naam se,us mein ye poem bi thi Its just awesome
Posted 11 Sep 2008

sun_shine says
*Ok right jee
Buhat shukriyaa
Betiyaan Phool hoti hain...!
Posted 11 Sep 2008

Posted 15 Sep 2008

Rapunzel says
sun_shine said:

*Ok right jee
Buhat shukriyaa
Betiyaan Phool hoti hain...!



bilkul
Posted 15 Sep 2008

sun_shine says
Posted 18 Sep 2008

Miss mine says

sunny sis me nai parh sukti Rapuuuu aap translate kar do plzzzz
Posted 20 Sep 2008

sun_shine says
Assalam O Alaikum

*Oh Right Dear sis
Its all About us Lolz ...!

Hum "Betiyaan"...!
Posted 25 Sep 2008

Rapunzel says
Miss mine said:


sunny sis me nai parh sukti Rapuuuu aap translate kar do plzzzz



oh mein ne abhi abhi dekhi Apki post InshaAllah aj raat ko mein apko translate kar dun gi siso
Posted 25 Sep 2008

Rapunzel says
betiyan phool hoti hain
aur phool k muqadar mein
bilakhir bikharna hota hai
inhein tu bus mehakna hai
saja do saij per chahe
chara do ya mazaron per
sehre mein inhein gondo
laga do ya k madfan mein
inhein tu rang bharna hai
inhein khusboo pheelani hai
bhala phoolon ki marzi kon poochta hai
batayo Tum ko balon mein sajayain ya k marqad pe
abyari ho kaheen,ya qata bareed ho
Phoolon k ikhtiyar mein
bus mehakte rehna hai
ajnabi jazbat ko apni zuban mein kahna hai
jis rang mein chahe Baghban

Guldaste mein sajj jana hai
jis kayari mein chahe
waheen pe inko ugna hai,waheen phal phool dene hain
waheen murjhana hai Inko
parindon aur podoon mein
yehi ik farq hai azli
kabhi jo be-sabab ye meherban barsatain rooth jayain
ya badqismat ghatayain raste ko bhool jayain
kabhi jab panion ko kookh banjar ho jane ka khadsha ho
parinde hijratain kar k,nayi aab o zarr mein khojaian
thikane,aashiyane,chaman o gulshan sab niya dhoondhain
magar phoolon ko,podoon ko,magar belon ki bahon ko
waheen pani k madfan per,waheen asjar k sakit badan pe khaak hona hai
inhein gajron mein sajna hai
inhein rahon mein rulna hai
guldan abaad karne hain
yehi phoolon ki qismat hai,yehi unka muqadar hai
Betiyan Bi Phool Hain-


here it Is MM
Posted 25 Sep 2008

madgirl says
ye betia........
betia gharo ki ronaq hoti hai.
Posted 25 Sep 2008

Rapunzel says
kuch loog tu zehmat samjhte hain
Posted 25 Sep 2008

Miss mine says
Rapunzel said:

betiyan phool hoti hain
aur phool k muqadar mein
bilakhir bikharna hota hai
inhein tu bus mehakna hai
saja do saij per chahe
chara do ya mazaron per
sehre mein inhein gondo
laga do ya k madfan mein
inhein tu rang bharna hai
inhein khusboo pheelani hai
bhala phoolon ki marzi kon poochta hai
batayo Tum ko balon mein sajayain ya k marqad pe
abyari ho kaheen,ya qata bareed ho
Phoolon k ikhtiyar mein
bus mehakte rehna hai
ajnabi jazbat ko apni zuban mein kahna hai
jis rang mein chahe Baghban

Guldaste mein sajj jana hai
jis kayari mein chahe
waheen pe inko ugna hai,waheen phal phool dene hain
waheen murjhana hai Inko
parindon aur podoon mein
yehi ik farq hai azli
kabhi jo be-sabab ye meherban barsatain rooth jayain
ya badqismat ghatayain raste ko bhool jayain
kabhi jab panion ko kookh banjar ho jane ka khadsha ho
parinde hijratain kar k,nayi aab o zarr mein khojaian
thikane,aashiyane,chaman o gulshan sab niya dhoondhain
magar phoolon ko,podoon ko,magar belon ki bahon ko
waheen pani k madfan per,waheen asjar k sakit badan pe khaak hona hai
inhein gajron mein sajna hai
inhein rahon mein rulna hai
guldan abaad karne hain
yehi phoolon ki qismat hai,yehi unka muqadar hai
Betiyan Bi Phool Hain-


here it Is MM



yehi unka muqadar hai - betiyan bi phool hain..

brilliant read sweets thanku so much
Posted 26 Sep 2008

tehzeeb says
its beutiful
Posted 27 Sep 2008

Reply to Topic