*mehekti hai fiza khushboo se jab bhi eid aati hai muhabbat ke naye armaaN , naya ek rang laati hai badan pe peerhan khush rang , sajay sab lauG hotay haiN ke dil sarshaar hota hai sabhi ka aik jazbay se galay miltay haiN sab apnoN se hum kitni muhabbat se yeh ulfat kaash ke baara maheenay dil maiN rakhay hum koi ghareeb ho miskeeN bhalay nadaar ho jitnaa woh apni eid ki khushyooN pe samjota nahi kerta watan se door ho apna koi tho yaad kertay haiN usay mehsoos kertay haiN ke jesay paas ho apnay koi bichrra hova jab hum ko iss din yaad aata hai tho uss ki yaad maiN aankhoN se phir aaNsu chalaktay hai bohot si dooriyaaN mit-thi haiN apni eid ke din pe bohot se doost miltay haiN bohot hee door se aa ker manatay haiN jisay har um'R ke logoN se mil ke hum Khuda ki dain hai deta hai ek aisy khushi hum ko