Hamein aashiqi mein sach mila hamein zindagi mein sab mila Magar be_wafaai ki aadatein na tujhey mileen na mujhey mileen
Udhar tu dua mein lagi rahi idhar mein dua mein laga raha Par mannaton sey haajatein Thi aarzu kabhi saahilon pe terey saath saath hum chal sakein Par samandaron sey ijazatein na tujhey mileen na mujhey mileen
Jis zindagi ki khaahishon mein so rat-jagon mein sajood keeye Us zindagi ki bashaaratein Hasraton ke deeyon ko aag kabhi tu ney di kabhi mein ney di Magar roshni ki alaamatein na tujhey mileen na mujhey mileen
Na to terey dard rukey kaheen na merey zakhm bharey kabhi Sabar-o-shukar ki haalatein Teri manzilein kahein aur thein meri manzilein kahein aur thein Kisi aek simt ki musafatein na tujhey mileen na mujhey mileen
Tu thehar gaya kisi aur ke ghar mein ruk gaya kisi aur ke darr Man-pasand si chaahatein Hamaari pur_khaloos neeyaton se manzilein kyun chin gaein! Muqaddaron se wazahatein na tujhey mileen na mujhey mileen