December Special

4505 views 49 replies
Reply to Topic
Rapunzel

Age: 125
Total Posts: 51848
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Khizan kay mousam sey gulaab maang raha hai
phir apney liye koi azab maang raha hai

Jaan mangta to mein zara taghaful na karta
magar woh mujh se mere khawab maang raha hai

Ata kar k mere zeest ko hijr ki aziyatien
aur mujh se visaal-e-rut k hisaab maang raha hai

Khataien karna hi raha mashghala uss ka
mein kiya doon sila ussey woh sawab maang raha hai

Apni samjh mein uss ki guftagu bhi nahi aati
aur woh ankahey sawaloon kay jawab maang raha hai

Mujh ko apney wajood pe bhi dastaras nahi hasil
aur dil-e-nadan hai mehtaab maang raha hai

Koi zindagi se ghabra gaya iss qadar
kashti ka musafir hai aur gardaab maang raha hai
Posted 08 Dec 2008

Rapunzel says
Posted 08 Dec 2008

Rapunzel says
khizan ki dhund mein lipte hoye hein
shajar mujburiyan pehne hoye hain
ye kesi fasl-gul ayee chaman mein
parinde khauf se sehme hoye hein
hawaon mein ajab si be kali hai
dilon ke badbaan simte hoye hain
hamare khwab hein makri ke jaale
hum apne aap mein uljhe hoye hain
damakte, gungunate, mosamon ky
laho mein zaiqe phaile hoye hain
meri surat, zameen ke sare manzar
tere deedar ko tarse hoye hain
misal-e-naqsh paa, heeran tere!
hawa ki rah mein bethe hoye hein
nigahon se kaho, hum ko samaiten
meri jaan, hum bohat bikhre hoye hain
adhori khwahishon ka gam na karna
ke sare khwab kab pure hoye hain!
samander, asman aur sans mera
teri awaz par thehre hoye hain
har ek raste pe kehti hain ye ankhen
ye manzar to kahen dekhe hoye hain!
sitare asaman ke, dekh AMJAD
kisi ki ankh mein utre hoye hain
Posted 08 Dec 2008

Rapunzel says
Posted 08 Dec 2008

Rapunzel says
December jab b lota hai,
mere khamosh kamre mein,
mere bister pe bikhri hui kitabain,
Bheg jati hain...... !!!
Posted 08 Dec 2008

olldman says
Ecelling poetry, very enjoyable.Rapunzel.
Posted 08 Dec 2008

Rapunzel says
Thank You Olldman
Posted 08 Dec 2008

Rapunzel says
!!!SUNO DECEMBER!!!


Naee hikayat muhabbaton ki
Shikayatoon ki
Bhujhe bhuje se haroof le kar
Kohar mein doobi seyyahoon ki
Warq warq per utaarna hai
Udaas shamoo ke phool chun kar

Suno December
Ussay pukaaro
Ussay bulaaoo
Suno December ... Ussay mila do
Ab is se pehlay ke saans niklay
Ab is se pehlay ke saal guzray
Wohi lakeerain wohi sitaara
Meri lakeeroon mein qaid kar do
Ya aakhri shab ke aakhri pal
Koi bara ikhtitaam kar do
Yeh zindagi bhi tamaam kar do
Suno December ... Ussay mila do...
Posted 08 Dec 2008

Rapunzel says
DECEMBER JAB BHI AATA HAI........

DECEMBER LOAT AAYA HAI
AUR SUNG APNEY DARD-O-GHAM SAMAIT LAYA HAI
JAB HAWA MEIN KHUNKI BARH JATI HAI
JANE KYUN?
MEREY DIL KI HALAT ABTER HO JATI HAI
BAY-BAAT BARASTI HEIN AANKHAIN
AUR DIL MEIN KHALISH AA JATI HAI
JAB DARD KI TEESAIN UTHTI HEIN
MEREY DIL KO LAHO KER JATI HEIN
JANE KYUN?
TUB BICHRAY YAAD AANE LAGTEY HEIN
AUR DARD SATANEY LAGTEY HEIN
JANE KYUN AISA HOTA HAI?
JAB BHI DECEMBER AATA HAI
MUJH KO TANHA KER JATA HAI
Posted 08 Dec 2008

Rapunzel says
Raat Uss Na Poocha Thah
Tum Ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December Ki !
Main Nay Kehna Chaha Thah
Saal-O-Maah K Baray Main
Guftagu K Kiya Maani ?
Chahay Koi Manzer Ho
Dasht Ho , Samander Ho
June Ho , December Ho
Dharkano Ka Her Naghma
Manzaro Pay Bhaari Hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil Ko Ek Sahara Ho
Aisa Lagta Hai Jaisay
Ek Nasha Sa Taari Hai
Lakin Uss Ki Qurbat Main
Kuch Nahi Kaha Main Nay
Takti Reh Gayee Mujh Ko
Chandni December Ki !
Posted 08 Dec 2008

Rapunzel says
aakhri chand din december kay
her baras he giraan guzartay hain
khahishoon kay nigaarkhanay main
kaisay kaisay guman guzartay hain
raftagaan kay bikhartay saalon ki
aik mehfil si dil may sujti hai
phone ki diary kay safhoon say
kitnay number pukartay hain mujhay
jin say murboot benawa ghantee
ab faqat meray dil mein bujti hai
kis qadar piaray piaray naamoon per
raingti budnuma lakeerain si
meri aankhoon main phail jaati hain
doorian daairay banati hain
her december kay aakhree din main
her baras ki tarha say ab kay bhi
diary ik sawal kerti hay
kiya khaber is baras kay aakhir main
meray in bechiragh safhoon say
kitnay he naam kat gaye ho gain
her december main sochta hoon may
aik din is tarha bhi hona hay
rang ko roshnee main khona hay
Posted 08 Dec 2008

sun_shine says

Assalam O Alaikum

*Wow Really Nice
Speacially Amjad islam Amjad saheb ki Poem Buhat zebardast hain...!
   
Posted 08 Dec 2008

Rapunzel says
Waalaikum Assalam

thnx Dearo yeah thts very shweet peom
Posted 09 Dec 2008

madgirl says
oyeeeeeeeeeeeee rupuuuuuuuu inni serious poetry..........
oh tussi to mannu emotional keeta
Posted 09 Dec 2008

Rapunzel says
emotional nhi hona dear Dec ka maheena hi aisa hai
Posted 09 Dec 2008

Rapunzel says
Khayaal howa hi thaa barf parri dam bhar mein
zindagi eik jatan mein hey khushk-o-tar mein

khoobsoorat hey yeh sardi ya hoon deevana mein
daakhil hooti nahin hey baat doosrey sar mein

shukr khuda kaa sabhi aas paas aag key paas
tujhey bhi chaahta khuda sey hoon December mein

yehi tamaasha jo hey deikhney ko kaafi hey
lagey he eisa ke garmi na deikhhoon lot kar mein.
Posted 09 Dec 2008

Rapunzel says
Kia hi udhtay hain teray hijr ke shararay mujh mein
Taiz hawaoo’n mein jhoolay shakh-e-shajar jaisay!
Baat uthay jo meray fusoo’n ki namakdani ki…!
Aankh roti hai phir samandaro’n ke pani ki!
Aah ke jaan mere ab bhi simat jati hai
Garm baho’n mein koi roh pighal jati hai!
Aah jana’n ke ab jism ka rua’n rua’n…
Tery nargasi lams ko tarasta hai!
Narm baho’n ki hiddat ko maira badan
Sard raton mein phir misl-e-sahama jalta hai!
Toot jatay hain bazoo us hawalay se…
Halq-e-ja’n mein aaya wo taira paikr-e-gull!
Ja’n se roh talak aa gie taseer-e-damak
Us hiddat ko mairee rag-o-pe machalti hai!
Rok le khama ke sagar baat badhti hai..
Sard mausum ki ab jub rut badalti hai
Tairee qurbat ko mere jaan youn machalti hai
Jaisay parawanay ko shama se koi door kerday!
Jaisay machlee ko pani se koi juda kerday…!!!
Posted 09 Dec 2008

Rapunzel says
December ....
Ab bhi Tera muntazir Hay .!

woh Lamhay............
Soch Ki Dahleez Pay Tehray Hoy hain !

December K mahenay main
Hazaroon Saal Pahlay Jab

Teray Waday K Honatoon Ne
meri Ankhoon Say Behtee Zindagi K Hanth Choomay Thay !

meri Bayrang Batoon K Kinaray
Tum Nay Kwabon K
Sahary or Ashkon K Sitaray Rakh Diye Thay !

aur .......
Hawa Ko apni Chahat Ki
Hifazat Kaa Ishara Kar Diya Thaa !

Hawa Ki Khunkiyon main ab Bhi Teri naram batain
aahatoon Kaa Jaal Buntee Hian !

Sama'at ....ab Bhee Teray
Qahqahon Kaa Shoor Sunti Hay !

Khayal ab Tak Tumhari Ungliyon Say
meray Dil K Surkh Ansoo Pochta Hay!

Nigahain Baraf K Phelay
chamaktay Kenwas Par Jaa-Bajaa
Teri Rifaqat Ki Zarorat Paint Karti Hay !

Tehtartay Paniyon K Tan Pay Bikhri Dhoop
Tera Bagair rooti Hay
Kahan Hota Hay Too.......
Muhabat Ki Sulagtei rahguzar K Kinaray Pay

December ....
ab Bhe Tera muntazir Hay !!
Posted 09 Dec 2008

Rapunzel says
Posted 09 Dec 2008

olldman says
Intahi achi ,Rapunzel. I,ve enjoyed reading it, I only wish my Urdu vocabulary was larger.
Posted 11 Dec 2008

Rapunzel says
thnk U Olldman lolz dont worry mera khayal hai forum k thru kafi izafa ho ga apk ilm mein
Posted 12 Dec 2008

Rapunzel says
Ossay Tou Mitt He Jaana Tha...


December K Hasee'n Din Thaay
Murree Ki Yukh-Basta Fizaou'n Main
Hamaray Char Haathou'n Nay
Mujasma Ek Banaya Tha
Kaha Tha Aik Dojay Ko
Nishaani Piyaar Ki Apni
Berhi Khoobsoorat Hai
Mujhey Ab Yaad Aata Hai
Mujasma Beraf Ka Tha Wo
Ossay Akhir Pighalna Tha
Ossay Tou Mitt He Jaana Tha
Posted 12 Dec 2008

Rapunzel says
Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai
Ye khabr shahar mein aam hai December aan pahuncha hai

Aangan mein utar aayi hai manoos si khushboo
Yadon ka azdahaam hai December aan pahuncha hai

Khamoshiyon ka raaj hai khizaan taak mein hai
Udasi bhi bahot aam hai December aan pahuncha hai

Tere aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom
Naye saal ka ahtamaam hai December aan pahuncha hai

Khunak rut mein udasi bhi chaukhat pe khadi ahi
Jaday ki udaas shaam hai December aan pahuncha hai

Tum Aao tou mere mausamon ki bhi takmeel ho jaye
Nayi rut tou sar e baam hai December aan pahuncha hai
Posted 12 Dec 2008

Rapunzel says
December aa ker guzer jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Chiriyaa'n chehkein gee yakh-basta raato'n may
Aur pairo'n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
Na koi hari shaakh ho gee
Na koi patta ho gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
Jalaa dey gee unn ko december ki thandi hawa
Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
December aa ker guzar jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye gaa
Posted 12 Dec 2008

Rapunzel says
Woh Muskana Tera Woh Sharmana Tera December Ka Sama
Woh Bheegi Bheegi Sardiyaan
Woh Mosam Kaya Huwa Naa Jaane Kahan Kho Gaya
Bas Yaadien Baki.......
Posted 12 Dec 2008

Rapunzel says
Rapunzel said:

december mujh say bola tha
ab k jab main aongaa
tujhay phir say pukaronga
ussay main sath laonga
jo tujh ko bhool baitha hai
k jis k hijr ka lawaa
tera tan man jalata hai
k jis ki yaad ki jheelon main
aksar doob jatay ho
k jis k wastay baithay
yahan tum geet gatay ho

december mujh say bola tha
suno tum bhool na jana
jo yadain uss nay sonpi hain
jo lamhay uss nay bakhshay hain
chahay yeh zakhm saray
rohh ka nasoor ban jayen
inhain bharnay nahi daina
inhain marnay nahi daina
k in zakhmon pay marham
aik din uss nay he rakhna hai

december agaya lekin
december woh nahi aya
k jiss nay mujh say bola tha
ussay woh sath layega
mujhay phir say pukarega

december! ghor say sun lo
ussay bhi tum bata daina
yeh sansain machli baithi hain
ab rukhsat pay janay ko
yeh ankhain bhi barasti hain
ussay wapis bulanay ko
magar yeh jantay hain hum
hamain wo bhool baitha hai

december ayay jo ab ho
to itna yaad rakh laina
december aur he tha woh
k jiss nay mujh say bola tha
mujhay ummedain bakhshi thin
mujhay jeena sikhaya tha
buhat masoom thay hum to
jo itna bhi nahi samjhay
december to december hai
sub he ko rulata hai
hamesha dair karta hai
sanam k taur rakhta hai
sada akhir me ata hai

december uss say keh daina
mujhay jitna bhi tarpalay
k tujh say haar maani hai
ab hum nay yeh he thaani hai
yon uss say dour jana hai
kabhi wapis na anaa hai

chalo choro ab janay do
december kuch bhi na kehna
koi shikwa nahi karna
k jis say yeh guman guzray
usay hum yaad kartay hain
ussi ki rah taktay hain
k apni zindagani ka
iss sari kahani ka
yeh manzar akkhri hoga

DECEMBER AKHRI HOGA
DECEMBER AKHRI HOGA

Posted 16 Dec 2008

olldman says
Elegantly put, enjoyable precious thoughts, Rapunzel.
Posted 17 Dec 2008

Miss mine says
Rapunzel said:

December aa ker guzer jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Chiriyaa'n chehkein gee yakh-basta raato'n may
Aur pairo'n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
Na koi hari shaakh ho gee
Na koi patta ho gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
Jalaa dey gee unn ko december ki thandi hawa
Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
December aa ker guzar jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye gaa


beautiful
Posted 17 Dec 2008

Rapunzel says
olldman said:

Elegantly put, enjoyable precious thoughts, Rapunzel.



Thnx Jee
Posted 17 Dec 2008

Rapunzel says
Miss mine said:

Rapunzel said:

December aa ker guzer jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Chiriyaa'n chehkein gee yakh-basta raato'n may
Aur pairo'n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
Na koi hari shaakh ho gee
Na koi patta ho gaa
December aa ker guzar jaye gaa
Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
Jalaa dey gee unn ko december ki thandi hawa
Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
December aa ker guzar jaye gaa
Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye gaa


beautiful


Thnx Sis
Posted 17 Dec 2008

kOoLeSt1 says
v nce
Posted 17 Dec 2008

Reply to Topic