Ashii
Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0
Location:
France, France
Zindagi ke mele mein, khahishon ke rele mein
Tum se kya kahein jana, iss kadar jhamele mein
Waqt ki rawani hai bakht ki girani hai,
Sakht be-zameeni hai, sakht lamakani hai…
Hijr ke samandar mein, takht aur takhte ki…
aik hi kahani hai, tum ko jo sunani hai
Baat jo zara si hai, baat umr bhar ki hai
Umr bhar ki batein kab do ghari main hoti hein
Dard ke samander main…
un-ginat jazire hain, beshumaar moti hein
Aankh ke dareeche per tum ne jo sajaya tha
Baat us diye ki hai, baat us gile ki hai
Jo lahu ki khalwat main chor ban kar aata hai
Lafz ki faseelon per toot toot jata hai
Zindagi se lambi hai, baat rat-jage ki hai
Raaste main kaise ho baat takhliye ki hai
Takhliye ki baaton mein guftagu izafi hai
Pyaar karne walon ki ik nigah kaafi hai
Ho sake to sun jana, tum kabhi akele main
Tum se kya kahein jana, iss kadar jhamele mein
------------------ (F)(F)(F)(F)(F)(F) ------------------