Ajab din the mohabat k

1625 views 11 replies
Reply to Topic
Rapunzel

Age: 124
Total Posts: 51848
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Ajab din the mohabat k
ajab mausam the chahat k
kabhi ger yaad ajayeen to palkoon per sitare jhilmilatey hain
kisi ki yaad main raatoon ko aksar jagna mamol tha apna
kabhi ger neend ajati tou hum yeh soch laite the
abhi to woh hamare wastey roya nahi hoga
abhi soya nahi ho ga
abhi hum bhi nahi rotey
abhi hum bhi nahi sotey
so phir hum jagtey the aur us ko yaad kertey the
akailey baith ker weeran dil abad kertey the
humare samne taroon k jhurmat main akaila chand hota tha
jo us k husn k agay bohat hi mand hota tha
falak per raks kertey unginat roshan sitaroon ko
jo hum tarteeb daitey the
to us ka naam banta tha
hum agle roz jab miltey to guzri raat ki her bekali ka zikr kertey the
her ek qissa sunatey the
kahan' kis waqt' kis taraan se dil dharka' batatey the
main jab kehta k ''jaana aaj to main raat ko ek pal nahi soya''
to woh khamosh rehti thi
per us ki neend main doobi hoi do jheel si aankhien
achanak bol uthti thi
main jab us ko batata tha
k''maine raat ko roshan sitaroon mein
tumhara naam dhekha hai''
to woh kehti
''tum jhot kehtey ho
sitare maine dheeke the
aur un roshan sitaroon mein tumhara naam likha tha''
ajab masoom larki thi
muje kehti thi
''lagta hai k ab apne sitare mil hi jayeen ge''
magar us ko khabar kiya thi
kinare mil nahi saktey
mohabat ki kahani mein
mohabat kerne waloon k
Sitare Nahi Miltay

Posted 15 Dec 2008

Reply to Topic