- Forums
- Freedom of Speech
- Dil Vs Dimagh***
Reply to Topic
sun_shine
Age: 124
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Assalam O Alaikum
*Dimaagh : meri samjh main nahi aata ke scohta main hun
mashvara main deta hun phir bhi log tumhari mante hain
Dil :aaye nadaan insaan ko sochne par majboor to main karta hun na
jab hi to us ne mujhe seene se laga rakha hai
Dimaagh: dekho main uss ke itnae kareeb hoon ke
main uus ka her dard apne andar samo leta hoon
Dil :aur main uus ka kitna humdard hoon ke main uus ki tadap
apne wajood main mehsoos karta hoon
Dimaagh:main insan ko zindagi ke suhaane khuwaab dekhta hoon
Dil :aur main apni dhadkano ki raaftar tabeer ki taraf usss ki
rehnumayi karta hoon aur khuwaabon ki tabeer uus pe aashkaar karta hoon
Dimaagh:jisam ka aasal badshah main hoon kyun ke
usss ki zaruraton ka aadraak tow main hi karta hoon
Dil :aasal badshah tow main hi hoon jiss waqt tum so rahe hote ho
uus waqt bhi jism ko rozi pahuncha raha hota hoon
Dimaagh:aaye ghustaakh chup ho ja meri hukumat sari kainat par hai
agar main chahun to teri dhadkanein rok dun aur chahun tow tez kar dun
Dil :kyun na kar sako aakhair tumhari ragon main bhi to
mera hi khoon dourr raha hai na...!
Reply to Topic