Rapunzel said:
Mohabat kya hai ????????jazba hai
ya jazbe se ye koi mawara shai hai
KHUDA jis ne ise paida kiya hai jaanta hai…..
koi uljhi kahani hai
k jis ki ibtada anjaam k manzar se hoti hai
ik aisa raaz
jis ki khoj main jo bhi gaya hai lot kar aaya nahin hai
bohat si ungliyaan saazon k pardon se
isi ik lafz ki……
dhun ko bajaati hain
bohat si rooh ki gehra’iyon se paida hone wali aawazin
isi ik lafz ko….
moj e hawa main gungunati hain
bohat se kooza gar mitti ki dhairi se
isi ik lafz ki…..
tajseem karte hain
bohat se haath hoon jo bas
isi ik lazf ki……..
takhleek ki khatir
riwayat ko nibha kar
pathron se daiwta takhleek karte hain
magar phir bhi
mahabbat ik mo’amma hai,
paheli hai,
fasana hai………
KHUDA jis ne ise paida kiya hai jaanta hai….
ham jaante hain k
mohabbat k isi ik lafz ki tableegh ki khatir
bohat si barguzeeda hastiyan dharti pe utri hain
bohat se log likhte aa rhe hain kitni sadiyon se isi ik lafz ki tafseer main
kitne musawwar apne rangon ko zubaan daine ko koshaan hain
magar phir bhi
mohabbat ik mo’amma hai,
paheli hai,
fasana hai….
KHUDA jis ne ise paida kiya hai jaanta hai………