*Barish ka pehla qatraa aa kay Jab who pyasi Zameen say milta hay Us millan ki khushi main bay ekhtiyaar Zameen kay Rooh Rooh se
Mast Khushbu ummad see aati hay Aur thandi hawa kay mast jhonkay Woh khushbuu simytay banho'n main Chaltay hain Ounchi nichee Rahoo main
Zameen kay syraab honay ka jashan mannaty hain Chaar su khushbu bikhair daytay hain Dil kay bhee hotay hain hazar rang Jitnay moosam hain saaray es main hain
Chahatun kay hazaro rang gullab Pyaar kay jitnay hain moosam sarray Kooray kagaz kee tarha hain abb tak Kabhi too koi awarra baddal
Pyaar ka ban kay banjarra badal Bhoolay say aa kay kabhee barsay too Rooh tek ess say sairaab hoo jaye Or phir is ke khushbu say