Kaho to

1741 views 15 replies
Reply to Topic
Rapunzel

Age: 124
Total Posts: 51848
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan

Kaho to loot jatay
Abhi to baat lamhoun tak hay, saaloun tak nahi aaee
Abhi muskaanoun ki nobat bhi, naaloun tak nahi aaee
Abi to koi majboori, khyaaloun tak nahi aaee
Abhi to gard paroun tak hay, baaloun tak nahi aaee
Kaho to loot jatay
Chalo ik feesla karnay shajar ki orh jatay

Abhi kaajul ki doori, surkh gaaloun tak nahi aaee
Zabaan dantoun talak hay, zehar peyaaloun tak nahi aaee
Abhi to mushk-e-kastoori-o-ghazaloun tak nai aaee
Abhi roodaad-e-bey unwaan, hamaray dermeyan hay
Dunyaa waaloun tak nahi aaee, kaho to loot jatay

Abhi nazdeek hain ghar or manzel door hay apni
Wo baada naar ho jaee yea hasti noor hay apni
Kaho to loot jatay

Yea rasta peyaar ka rasta rasam ka daar ka rasta
Bohat dushwaar hay jaana
K is rastay ka har zarra bhi, ik kohsaar hay jana
Kaho to loot jatay
Maray baaray na kuch soocho, mujhay tay karma aata hay
Rasam ka daar ka rasta ,
Yea aasibou bhra rasta,
yea andhi ghaar ka rasta,
Tumhara narm-o-nazuk, haath ho ger meray hathoun main
To main samjhoun k jasay do jahan hain, meri muthi main
Tumhara qurb ho to, mushkilain kafoor ho jaee
Yea andhay or kaalay raastay, pur noor ho jaee
Tumhaaray geesuoo ki choun miljaee,
to suraj say ulajhna baat hi kia hay
Utha lo apna saya tum, meri ooqaat hi kia hay
Maray baaray na kuch soocho, tum apni baat batlaoo
Kaho to chaltay rehtay hain, kaho to loot jatay hain

Kaho to loot jatay hain
Posted 23 Feb 2009

Reply to Topic