Wah haanth jo ponchhte then aansun mere Mit jaate then gham,jinke duwaon ke asar se Dhundhte hain o kaandhe,roti thin aankh jin par MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se
Ungli pakad kar chalna,hajaar khwahishen karna Gujarti thi unki zindagi,hamare hi dagar se Yaad aati hai o baaten,dil rota hai AAH aksar MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se
Wah ruthna hamara,Wah aansunwen bahana Puri hoti thi khwahishe,humare is asar se Baagh aate hain yaad,chubhte hain kaante aksar MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se
Dil todna na unka na taklif kabhi dena Nikaalna hai tumhen hi unhen ashkon ke sahar se Yatimo ko deho unhen ja kar samjho,kya hota hai tab MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se
Wah dhundhli si aankhen Wag maasum sa chehra Yatimo ko dekho ge jab tum unki najar se Samajh jaoge AAH tum bhi, kya hota hai tab MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se
EHSAS-E-ILTEJA hai , ek baat meri maano Apna aasiyana banana,unki muhabbaton ki asar se Bahut taklif hoti hai ,hota hai KAASH hontho pe aksar MAA-BAAP ka saaya jab uth jata hai sar se