Cute_gal
Age: 124
Total Posts: 9975
Points: 0
Location:
USA, USA
1) Baziger:
"Kuch pane ke liye bhi kuch khona padta hai, aur kuch pa kar khone wale ko
Baziger kehte hain".
Bhaji Ghar:
"Pet bharne ke liye kuch khana padta hai , aur kuch khane ki cheezien bechne
wali jaga ko Bhaji Ghar kehte hain."
2) Mohabbatien:
"Ek ladki thi dewani si , Ek ladke pe woh marti thi , nazren jhuka ke ,
sharma ke , galion se guzrti thi , chori chori chupke chupke chitthiyan
likha karti thi, kuch kehna tha shayad us ko , jane kis se darti thi,jab bhi
milti thi mujh se , mujh se poocha karti thi, yeh pyar kaise hota hai , yeh
pyar kaise hota hai , aur main sirf yahi keh pata tha"
Musebatien:
"Ek ladka tha pagal sa, ek moti pe woh marta tha ,
nazrien chupa ke, dar dar ke , date pe jaya karta tha , kuch kehna tha
sayad us ko , magar us moti se darta tha , jab bhi milta tha bechara mujh se
, mujh se poocha karta tha , " main chutkara kaise paoooon, main chutkara
kaise paooon", aur main sirf yahi keh pata tha ("abe to aise lafron main
padta hi kyun hai )"
3) Darr:
"kkkkkkkkkkkkkkkk Kiran"
Marr:
woh: "kkkkk" , samne wala: "kya bhai" , woh: "kkkkkkkk", samne wala : "kya
bhai kya ho gaya", woh: "kkkkkkk", samne wale ne thappad laga di, "kya kab
se kkkkkkkkkk kar raha hai be"
4) Kuch Kuch hota hai:
"Pyar dosti hai , agar woh meri sab se acchi dost nahi ban sakti to main us
se pyaar kar hi nahi sakta"
Kuch Kuch Zaroor ho raha hai:
"Date bahaut zaroori hai , agar woh mere saath date par nahi a sakti , to
main us se pyaar kya pyaar ka abba bhi nahi kar sakta" (Samajhti kya hai
apne aap ko)"
5)Sholay:
"Are oh samba, Kitne admi the re, hahahaha, Jo dar gaya samjho mar gaya"
Tolay:
"Mummmmyyyy, kitne toley hain mere sar main", Mummy : "Jo pakra gaya samjho
mar gaya"
6)Kante:
"Ek din hum sab ko narakh main to jana hi hai , yeh kam karo aur lambi gadi
main jao nahi to pedal"
Chante:
"Ek din hum sab ko date par do jana hi hai , ek kam karo , GF ko bus main
bithao , aur khud jao pedal (Paise bacaho)
7)Kabhi Khushi Kabhi Ghum:
"Parampara Dad, Parampara , pehle aap gaye the phir bhaiya gaye the aur ab
mujhe jana chahiye"
Kabhi tum Kabhi hum:
"Parampara Dad , Parampara, pehle aap date par jate the , phir bhaiya jane
lage , ab main bhi jaooon ga"