samander main utarta hon to ankhain bhegh jatin hain
tere ankhoon ko perhta hon to ankhain bhegh jatin hain
tumara naam likhne ki ijazat chin gai jab se
koi b lafz likhta hon to ankhain bhegh jatin hain
tere yadoon ki khushbo khirkioon main raks kerte hai
tere ghum main sulagta hon to ankhain bhegh jatin hain
main hans ker ghail laita hon judai ki sabhi rasmian
gale jab is ke lagta hon to ankhain bhegh jatin hain
na jaane ho gea hon is kadar hassas main kab se
kisi se baat kerta hon to ankhain bhegh jatin hain
woh sab guzre hue lamhat mugh ko yaad ate hain
tumare khat jo perhta hon to ankhain bhegh jatin hain
tere kuche se abb mera taluk wajbi sa hai
mager jab bhi guzerta hon to ankhain bhegh jatin hain