shiraz
Age: 125
Total Posts: 2
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
SALAAM.....sadia
tum achi ho tu main bohat acha hoon....hamesha ki tarhan jaisey tum kehti theen.
mohabbat aisi hai jaisey kisi samandar main se moti dhoond nikalna....koi khushkismat paa leta hai aur koi reh jaata hai....jis tarhan moti aur seep ka rishta hai issi tarhan MOHABBAT do roohon ka milaap hai...waqaye kitna azeem rishta hai jo marnay k baad bhi khatam nahi hota....
main ne bhi mohabbat ki thee SADIA se uss ne bhi ki theen mujh se apni jaan se bhi zaada....lakin zindagi ne saath nahi diya aur woh mar gaye.....main aaj bhi uss ko chahta hoon aur ek strange sa intezaar hai k woh ab bhi meray paas hai jab k main jaanta hoon woh meray paas nahi hai woh mar chukki hai.....pata nahi woh kia thee uss k jaanay k baad mujhay kuch accha hi nahi laga na kisi aur ki taraf dihaan geya na kisi se dil mila na chahat huyee...woh kia gaye meri zindagi hi khatam si ho gaye.....har watq soochta hoon kaash woh mera intezaar kar leti.....kaash main uss ki khwaaish poori kar deta...woh meri dulhan banna chahti thee....yeh khwaaish poori nahi ho saki uss ki..zindagi ne waqt hi nahi diya.....main ne ek hi se mohabbat ki aur aaj bhi karta hoon aur karta rahon ga....bas ghum jo zindagi bhar rahey ga woh yeh k meri mohaabat meri sadia ne mujh se waada liya tha k main uss ko apni dulhan banaaon ga main woh poora nahi kar saka......shayd issi ki saza hai k main koi pichlay 2 saal se bohat hi rainy days duzaar raha hoon.........
mohabbat waqaye shayd hi koi samajh sakay lafzon main tu bohat sooo ne define kia lakin mohabbat ko shayad hi koi samajhay............main bhi iss mohabbat se aaj tak bahar nahi nikal saka abhi tak sadia ka khyaal rehta hai........