[L]Khud hee ho jata hai...[L]

1381 views 25 replies
Reply to Topic
dost_neha

Age: 124
Total Posts: 22
Points: 0

Location:
United States, United States
Khud Hee Ho Jata Hai

Ishq to khud hee ho jaata hai…
Dil bhi apna kho jaata hai…
Jab aisa ho jaata hai…
To dil bekaraar ho jaata hai.

Kyun hota hain humko pyaar…
Mujhko nahi pata yaar.

Itna zaroor pata hai mujhko…
Ek din ye bhi hoga tumko.

Jab hoga tumko pyaar…
Hawa mein udoge tum bhi yaar…
Khush rahoge hardam tum…
Pyaar karoge pyaar se tum.

Aaj tumne jisko dekha hai…
Shayad who hee tumhara apna hai…
Abhi chalega pata nahi…
Intezaar mein rahna har ghadi.

Posted 13 Mar 2004

friend_16 says
nice..
Posted 13 Mar 2004

nice
ishq kisi sey kiya nahi jata yeh khudi he ho jata hai
Posted 14 Mar 2004

yeah agree but it sucks
Posted 14 Mar 2004

Saki says
its cool and casual..like it!
Posted 15 Mar 2004

Saki said:

its cool and casual..like it!

Posted 15 Mar 2004

Posted 15 Mar 2004

dost_neha says
thanx guyz
Posted 16 Mar 2004

kiran says
cool neha really cool is ke jawab main men kuch likhoon gi suno:

tujhse bichare ik zamana ho gea
ghum se apna dostana ho gea

kitni sadioon se khari hon men tanha
wasal ka kisa purana ho gea

kho gai ankhoon se woh tasweer to
ansioon ka ana jana ho gea

tera mur ke muskra ke dhekhna
yeh tera share dewana ho gea

pyar ki batain koi sunta nahin
kis kadar zalam zamana ho gea


Posted 16 Mar 2004

dost_neha says
wow.... kiran. greattt i love it more then anything. thanxx
Posted 17 Mar 2004

smartlooks says
exactly neha! kiran nay bhee bohot achi likhee ha. but tumahree was also zabardast!
Posted 17 Mar 2004

kiran says
yeh to hai neha ki mere se better thi..

kitna mushkil hota hai chup reh ker izhar kerna
dard jis shakhs se diya ise se pyar kerna

kehte hain waqat her zakham bhar daita hai mager
yaad ata hai humain ajj bhi tera inkar kerna

go tujhse koi nata nahin apna mager
mughey acha lage ga tujhey yaad kerna

Posted 17 Mar 2004

you are jus out standing (Y)
Posted 20 Mar 2004

dost_neha says
hi friends
     thanx alot...
but kiran i like urs better then mine
Posted 20 Mar 2004

dost_neha says
Kya pyar mein aissa hota hai
Kay jissay dil chahay uss pay mar janay ko dil chahta hai
Kay uss kay ansoo pi janay ko dil chahta hai
Kay uss kay har gham ko mitta daynay ko dil chahta hai
Kay ussko har paal muskurata hua dekhnay ko dil chahta hai
Kay uss par zindagani lutta daynay ko dil chahta hai
Kay uss ka hath pakar kar ura lay janay ko dil chahta hai
Kay usski ankhon mein kho janay ko dil chahta hai
Kay usski pyari pyari baton ko har paal sun nay ko dil chahta hai
Kay ussko har khushi daynay ko dil chahta hai
Kay ussko har chot se mehfooz rakhne ko dil chahta hai
Kay usskay rastay mein giray huay har kantay ko utha dayna ko dil chahta hai
Kay ussko dil mein chupa laynay ko dil chahta hai
Kay ussko har paal sapnon mein rakhnay ko dil chahta hai
Kya pyar mein aissa hota hai
Kay usski parchayee ko hee dekh kar dil khush hojata hai
Kay usski ek nazar se hee dil ko sukoon ajata hai
Kay usska chehra charon tarf chajata hai
Kay usski baat baat par pyar ajata hai
Kay usskee bahon mein dil mar jana chahta hai
Kay usski hathon ki rekhaon ko dil badal day naa chahta hai
Kay usskay naseeb mein likhi hua har gham dil apne naam karna dayna chahta hai
Kay usski har khuaesh ko dil pura kar dayna chahta hai
Kay saray jahan ki khushian dil usske kadmon mein bicha dayna chahta hai....
Kya pyar mein aissa hota hai
Kay usske sath jina to kya
Usske sath mar janay ko dil chahta hai..........
Kya pyar mein aissa hota hai....... ?????????

abh aap bataye kia pyar mein aissa hota hai??
Posted 20 Mar 2004

saray poet ek jagah combine hogaye lolzzzzz well i like all poems.
Posted 20 Mar 2004

paki_fan says
hey neha
aap bbohat achi shayeri kerti ho lekin ek baat pocchon don't mind ... r u in love? lagta to yeh hi hai
Posted 21 Mar 2004

tarash says
weldone
        neha and kiran
Posted 21 Mar 2004

tarash says
kehte hain waqat her zakham bhar daita hai mager
yaad ata hai humain ajj bhi tera inkar kerna


nahin ghalat hai waqt har zakhm ko nahin bharta
Posted 21 Mar 2004

tarash says
Kay uss kay ansoo pi janay ko dil chahta hai

Kay ussko har paal muskurata hua dekhnay ko dil chahta hai

Posted 21 Mar 2004

kiran says
cool tarassh jee app bhi achai shairi choose ker laite hain...

main akser yahan appni fav ghazal likhti hun jab apni hoto saath main likh daite hun. jaise ke main niche apni ghazal likh rhain hon batana kaise hai:

ke ashiq hansste hanste sitaroon main ja chupe
main toote sitare dhekhoon to dil yaad ata hai

main tere kurb ko kab tak bhula sakoon gi jana
ke koi bhi manzer dhekhoon to tu yaad ata hai

tere bewafai appni jaga mere mohabbet appni jaga
main abb bhi tujhey dhekhoon to pyar yaad ata hai

tu zindage se nikal gea per dil se nikal saka
ke ab bhi dil dharke to tera izhar yaad ata hai

mere ashayoon main kahin chupr hue tere deed hai
ke abb bhi chamakti he chandi jab tu yaad ata hai

andhairoon main kahin tanha bhatke phirte hai hum
per jalte rehte hain akser diye jab tu yaad ata hai









Posted 22 Mar 2004

dost_neha says
hi friends
how ru all. hmm bohat ache ache shayer mojood hain yahaan haan!! cool....
welcome tarassh... hope u like it here keep posting,
and yeah kiran and tarassh oonce again its cool..
Posted 23 Mar 2004

kiran says
thanks. neha app khudh boohat acha likhti ho.
Posted 23 Mar 2004

Posted 23 Mar 2004

kiran says
hanste kjun ho budhuuu
Posted 26 Mar 2004

paki_fan says
lolss
Posted 04 Apr 2004

Reply to Topic