zindagi is tarah se lagni lagi

1712 views 30 replies
Reply to Topic
kiran

Age: 39
Total Posts: 4177
Points: 0

Location:
Germany, Germany
Zindage is tarah se lagne lagi
Rang ur jae jaise deewaroon se
Abb chupane ko appna kuch na raha
Zakham dhikhne lage dararoon se

Abb talak sirf tujh ko dhekha tha
Ajj tu kiya hai yeh bhi jaan liya
Ajj jab ghour se tujhey dhekha
Hum ghalat thai kahin yeh maan liya
Tere her bhuul main kahin shayed
hum bhi shamil hain gunahgaroon se
abb chupane ko appna kuch na raha
zakham dhikhne lage daraaaron se

a mere saath milke hum phir se
apne khawaboon ka gher banate hain
jo bhi bhikra hai woh samtete hain
dhund ker phir khushi ko late hain
bhojh to zindagi ka katta hai
eik dujhe ke hi saharoon se
zindagi is tarah se lagni lagi
rang ur jae jo deewaroon se
abb chupane ko appna kuch na raha
zakham dhikhne lagai darraroon se

main tere jism ki hon perchai
mujhko kaise rakho gai khudh se juda
bhuul kerna tu mere fitrat hai
kjun ke insaan hon main nahin hon khuda
mughko hai appni khata manzooor
bhul ho jati hai insaanon se
abb chupane ko appna kuch na raha
zakham dhikhne lagai dararoon se

jab kabhi shaam k andhairoon main
rah panchi jo bhool jate hain
woh subha hote hi mera chal ker
appni shakhoon pe lout ate hain
kuch humare bhi saath aisa hua
hum yehi keh rahai isharoon se
zindagi is tarah lagne lagi
rang ur jae jo diwaroon se
abb chupane ko appna kuch na raha
zakham dhikne lagai dararoon se
Posted 22 Mar 2004

Cooool
Posted 23 Mar 2004

Saki says
hmm..very nice!
Arz hai:
torr de har aas ki dori aaso main kiya rakha hia
piyar muhabat batain hain so bataon main kiya rakha hai
ksmat main jo likha hai wo ho ke rehta hai
chand lakeerain uljhi si aur hathon main kiya rakha hai!
Posted 23 Mar 2004

kiran says
is intezar ka mausam main chand ansioon ke sawae
mere dhuwaan dhuwaan chehre pe aur kiya rakha hai
na hum ar chaal paye na par chal paye janaam
mohabbet ki in rahoon main judai ke siwa kiya rakha hai

Posted 23 Mar 2004

kiran is that ur own poetry and if it is then i must say that its pretty good.
Posted 23 Mar 2004

Saki says
kiran said:

is intezar ka mausam main chand ansioon ke sawae
mere dhuwaan dhuwaan chehre pe aur kiya rakha hai
na hum ar chaal paye na par chal paye janaam
mohabbet ki in rahoon main judai ke siwa kiya rakha hai

COOL...arz kiya hai:
'jiss din se ki hai tu ne shakyat
hum ne to teri gali se guzarna hi chor diya'
Posted 24 Mar 2004

nice yaar saki every one here is a poet
Posted 24 Mar 2004

Saki says
charizmatic said:

nice yaar saki every one here is a poet

tum bhi try karo..dil se khud hi lafz nikal aayen ge, have a go yaar!
for u..arz kiya hai:
Dil ke aik kahmosh goshe main tasweer saja rakhi hai tumhari
Bholne se bhi nahin bhool sakti yaad tumhari
Posted 24 Mar 2004

kiran says
cool saki bara acha zok hai..
Posted 26 Mar 2004

Saki says
kiran said:

cool saki bara acha zok hai..

adab arze..
Posted 27 Mar 2004

kiran says
humto rehte hain gum tere yadoon main
kiya rakha hai abb humare ahoon main
siwae tere khubsurat ehsaas ke
kiya rakha hai abb aur mere shamoon main
Posted 28 Mar 2004

Saki says
kiran said:

humto rehte hain gum tere yadoon main
kiya rakha hai abb humare ahoon main
siwae tere khubsurat ehsaas ke
kiya rakha hai abb aur mere shamoon main

wah wah wah/ cool!
Chah kar tumain kissi aur ko aise na chah sake hum
Khoya jo tumain aik bar to phir na pa sake hum
Bichre jo tum se to be-ikhtiyar mere ansoo chalk pare
aeh meri jaan, uss shaam jaise phir to na ro sake hum
Posted 29 Mar 2004

kiran says
rona to yehi hai ke tumse na mil sake hum
woh phool na khile na hum khil sake hum
tum hi nahin aur bhi hain ashiq zamane main
per afsos kisi aur ke na ho sake hum
Posted 29 Mar 2004

Saki says
kiran said:

rona to yehi hai ke tumse na mil sake hum
woh phool na khile na hum khil sake hum
tum hi nahin aur bhi hain ashiq zamane main
per afsos kisi aur ke na ho sake hum

hmmm nice!
'sahil ki hawa aab tera paigham nahin lati
neend aab kabi tera khab nahin lati
tora mera mann aise toney ke
duniya ki abb koi baat nahin bhati'
Posted 30 Mar 2004

~Fragi~ says
ah ... jis ko dekho yahan .. eik hee ghum hai
Posted 31 Mar 2004

kiran says
aur kiya rakha hai zamane main mohabbet ke siwa
per koi manta hi nahin ke mohabbet hai shafa
Posted 01 Apr 2004

ashk ankhon mein meri dekh key rootay kyun hoo
dil bhar ata hai tu phir dil ko dukhatay kyun hoo

roz mar mar key mujhay jenay ko kehtay kyun hoo
milnay atay ho tu phir lout kar jatay kyun hoo.
Posted 02 Apr 2004

Saki says
charizmatic said:

ashk ankhon mein meri dekh key rootay kyun hoo
dil bhar ata hai tu phir dil ko dukhatay kyun hoo

roz mar mar key mujhay jenay ko kehtay kyun hoo
milnay atay ho tu phir lout kar jatay kyun hoo.

wah wah...
hans parta hai buhat ziada ghum main bhi insan
buhat khushi se bhi aankhain ho jati hain num
Posted 05 Apr 2004

Tumhara naam likhnay ki ijazat chin gaye jab se
koi bhi naam likhta hon tu ankhein bheeg jati hein

its by WASI SHAH one of my favt.
Posted 05 Apr 2004

Non Stop says
aksar tou huwa karte hain aksar nahi hote
dunia may sabhi loog tou behtar nahi hote
kab janeye kis shakhs se ho jaye mohabbat
kuch hadsay aisey hain jo keh ker nahi hote
Posted 06 Apr 2004

Saki says
charizmatic said:

Tumhara naam likhnay ki ijazat chin gaye jab se
koi bhi naam likhta hon tu ankhein bheeg jati hein

its by WASI SHAH one of my favt.

wah wah shah ji ka sher wah wah..
afsos yeh hai ke main smajhi tumhara hai... chalo kahir jiss ne bhi likha acha likha..
Posted 06 Apr 2004

Saki says
Non Stop said:

aksar tou huwa karte hain aksar nahi hote
dunia may sabhi loog tou behtar nahi hote
kab janeye kis shakhs se ho jaye mohabbat
kuch hadsay aisey hain jo keh ker nahi hote

beautiful..i really like this one..
Posted 06 Apr 2004

Saki said:

charizmatic said:

Tumhara naam likhnay ki ijazat chin gaye jab se
koi bhi naam likhta hon tu ankhein bheeg jati hein

its by WASI SHAH one of my favt.

wah wah shah ji ka sher wah wah..
afsos yeh hai ke main smajhi tumhara hai... chalo kahir jiss ne bhi likha acha likha..

actually mein aesay chotay motay shair nahi kehta
Posted 06 Apr 2004

Saki says
charizmatic said:

actually mein aesay chotay motay shair nahi kehta

acha ji, wah kiya baat hai ji app ki, chotey motey sher nahin likhtey. ...
lagta hai app bare lambe hath marte hain..kuch suna dain jo app ne likha hai! (agar likha hai to) hum bhi dekhain app hain kiya shai!
Posted 07 Apr 2004

zindagi key lambay safar mein
kantoon bharay is rah guzar mein
kabhi kabhi yeh ehsas hota hai
judai ka lamha bhi kitna beqarar hota hai
kyun chor jatay hein dil mein basnay walay
kitna khud gharz yeh insaan hota hai
zindagi key lambay safar mein
kantoon bharay is rah guzar mein
kabhi kabhi yeh ehsas hota hai

WELL ITS MINE ITS WRITTEN BY ME
Posted 08 Apr 2004

tarash says
kitna khud gharz yeh insaan hota hai

sahi pehchana
Posted 08 Apr 2004

yea

oh na oye............eh teri ho hi nai sakdi..
itna acha kalam..wah ji wah....if u write it then wow..i love it! very lush!!!!!!!!!!!!!

off course its mine yaaar and thankz for liking it
Posted 09 Apr 2004

tarash says
weldone
Posted 10 Apr 2004

thankz tarash
Posted 10 Apr 2004

Reply to Topic