~! Hasratien !~

1844 views 60 replies
Reply to Topic
~Fragi~

Age: 43
Total Posts: 64603
Points: 0

Location:
Neutral Zone,
Kaisee hain yeh Hasraatien

Yeh masoom dil yeh masoom hasratien


Car Traffic signal per rukti hai .. Red lite on hia .. eik 3 saal ka bacha haath mein pop corn liye car kee taraf aata hai ..bacha jis k na to payoon mein chapel hai na sir per roomal... tapti dophiar hai .. woh car waley ko dekhta hai aur totli zuban mein kehta hai k melay pop corn lelo mein ney rooti khani hai .. woh car wala us ko kehta ahi k chalo bhago yahan sey woh masoom mealey kucheley kaproon mein malboos bacha .. hasrat bhari nigahoon sey car mein bhetay bachoon ko dekhta hai jo skool sey wapsi per ghar jatey hoye ... garmee sey ghabra ker imported juice pee rahey hain ... Signal green hota hai .. aur woh car chal deti hai woh bacha .. dil mein dabi aur masoom khawhish liye footh paath per chal deta hai aur aglee car ka intezar karta hai





aab koi yeh bataye k us masoom ka kiya juram . woh gareebon k haan paida hoya to us mein us ka kiya kasoor ? us kee masoom khawishaat kiyoon nahi pori ho sakti ..us kee masoom hasratein hee to kal us ko chota chor .. phir pocket mar phr dakoo banayein gein ... per un sab sey bara zulam woh hoga .. jab us masoom ka dil tootey ga . woh masoom dil tootney ka jo guna hoga .. us kee hasratien jo na tamam hongi woh kis kee zimadari hogi ... yahan poverty control programs mein kiya hota hai .. Holiday Inn mein lunch phir seminar phir woh apnee land cruiser mein yahan woh apnee benz mein wahan .... ager kissi signal per koi bacha pop corn beechta hoya miley bhi to us ko kiya miley bus eik duthkar ?????

Posted 01 Apr 2004

friend_16 says
.. haan jee fragi .. aisay aik nahi hazaroon bachay hain.. magar hum kia ker saktay hain??.. kuch paisay day dain??.. kia karain??









Posted 01 Apr 2004

~Fragi~ says
but mein soochta hoon k ager paisey bhi dey dein to un ko to adet ho jaye gee paisey leney kee n woh kuch kaam na karien gein ... but i dona where is da root ... kahan hai is kee root?
Posted 01 Apr 2004

friend_16 says
haan ji ur rite! .. laiken hum un ko paisay awain main thoore dain gay.. wo bachay popcorns baich rahay hain.. un say hum popcorns lain gay.. (ab app khana maat shoro ker daina )..








Posted 01 Apr 2004

~Fragi~ says
seriously we can do many things ..

like .. aab jo servents n maids ghar mein kaam kartey hain .. un k bhi kids hotey hian chotey chotey ... aab like woh bhi apna guzara mushkil sey kartey hain ..aab if we give dem some extra money like if we gives dem 1000 rs we can give dem 1200 ... n un ko keh dein k yeh extra money tumharey kids k liye hain ..un ka khiyaal rakha karo .. aur un ko sahi food do.... ghar mein sey bhi aur bhi ways ho saktey hain jin sey hum unkee help kar saktey hain
Posted 01 Apr 2004

WELL FRAGI the prob is our system yaar there are no jobs,educational system is poor too much poverty there is one kid who is sitting in air conditioned room and other kid is sitting on road and polishing shoes in the heat we have two standards of life and thats the prob the rich is getting more rich day by day and poor is becoming more poor day by day and thats really sad is nt.
Posted 01 Apr 2004

Ashii says
yes chashmatic s rite
but i agree fragi.. for a start it s can b a good idea
i know that in pak they look for servants jo bohot kam paise lein
and we never think k unn k ghar ka guzara 1000/2000 mei kaise hoga
jab k hamara aik normal suite bhi costs more than it



i ve heard abt that school "zindagi" (of aisa hi kuch).. it s a vv good project, and working well in khi
apne apne sheher mei y we dont start it ?
i m sure uss org k log wont mind helping us..
Posted 02 Apr 2004

~Fragi~ says
So true @ Sall .. koi na koi initiatives lenay hongey na ... aab NGOz ko bhi jagna hoga aur .. hum bhi chooti choti kooshishien kar saktey hain .. hamarey gharoon mein cage birds n pets n plants per monthly hum 20 thousands 30 thousand expense kar letey hian .. per kiya kabhi hum ney kissi bhi eik gareb bachay ko parhaney kee zimadari lee ??? kabhi kissi eik bhi bachey ko pooorey saal k liye books uniform le kar diya .. yeh kaam mushkil nahi .. hum sab ko to theek nahi kar saktey per hum kuch na kuch to kar saktey hiana ??
Posted 02 Apr 2004

friend_16 says
yeah fragi .. ur rite.. hum agar apnay ghar say hee start karain tu bohat kuch hoo sakta hai.. ab in main un bachoon ka kia kasoor hai jo gareeb ghar main paida huay hain!.. .. aur wo apnee khawaish ko poora karnay kay liyay phir choori wagaira bhee kertay hain.. mujhay yaad hai .. aik dafa hamaree garee signal par rookee tu aik bacha aya.. paisay magnay laga tu bhai kay paas tootay huay nahi thay .. us nay boola .. mauf karoo.. tu us nay adsh board say bhai ki glasses uthayeen aur bhaag gia.. bechara! .. pata nahi ye loog kitnay majboor hootay hain!! ..
aur mujhay taab bohat dukh hoota hai jaab main chootay chootay bachoon ko dustbin say papers wagaira uthathay deekhtee hoon..
hum kia ker saktay hain???.. ye aik doo nahi 100 nahi lakhoon is tarah kay aisay bachay hain .. jin ki choote choote khawaish bhee un kay maan baap poore nahi ker saktay!! ..
Posted 02 Apr 2004

Ashii says
hmmm fragi gave another good idea
(kya khaya hai yaar nashte mei)


kissi aik bache ki poori responsibility lena
like uss ki studies wagera ka pooora kharcha,,
coz normaly jaise paise wagera sabhi log dete honga, aur kuch nahi to zakaat to dete hi hein..
par different logon ko thora thora dene se behtar hai k kisi 1 ya 2 bachon ki complete resp le li jae,, coz bara ho k parh likh k wo apni poori fam ka sambhal sakta hai..
Posted 02 Apr 2004

friend_16 says
good idea Sall.. laiken ye bhee kitnay loog karain gay??? 5 10 .. 100.. aur baqee??.. hum jo itnay loogoon ko paisay daitay hain. un say un ka kuch na kuch tu baan hee jata hoo ga.. agar un saab ka band ker kay kisi aik ko daina shooro ker dain.. tu baqee kay wo saab kahaan jain gay??






Posted 02 Apr 2004

Ashii says
yar kahin na kahin se to start lena hi hoga na..

well im not saying that leave the rest live at their own,, par matlab k aur kuch nahi but tell them how to plan their children's life

ya aur kuch nahi to visit these NGO's working for childrens welfare.. and ask for their projects
we can do a lot,, agar karna chahein to


(who s talking )
Posted 02 Apr 2004

subha says
laikan jo log pak main nahi rehtay woh kiya kar saktay hain?
kaise help karen?
Posted 02 Apr 2004

Ashii says
financial help
follow NGO's working in pak (on net, or direct contact)


aur kahin garbar nazar aae to wahin gardan pakar lo
Posted 02 Apr 2004

subha says
yeh bi theek hay


Posted 02 Apr 2004

~Fragi~ says
ab dekhain .. hum ager yeh soochain k hum kuch nahi kar saktey to hum kuch bhi na kar payein gein .. per ager hum kuch karna chaien to bohat kuch kar lein gein .. per start hamesha Zero sey hota hai .. hum us sey hee karien gein to bohat kuch hoga ... 1 2 bachey ager humari waja sey achey hoongey to 2 4 kisi aur kee waja sey .. aur jab yeh chain chal parey gee to bohat kuch ho sakta ahi .. bohat kuch ... so we all muz join hands together n remake da best ...
Posted 02 Apr 2004

SanaSana says
Bilkool i agree wese ye feelings hi bohut hai ke hum dard-ed-dil tu rakhtey hain,or naensaafe per kurhtey bhi hain,werna kuch log tu aisa bhi nahi kertey,ye saree naensafeeyan sirf is wjha se hain ke aaj hum ne Islam jo ke mazhab-e-kamil hai us per amal kerna chor diya hai,isee liye Allah tala ne zakat or sadqa kheraat ka hukm diya hai takey koi bhooka na rahey kisee ko malii pareshani bhi naa ho lekin apney khazaney bherney se fursat milay tu aisa sochen naa,ye sab se baree zimmedari hukumat-e-waqt per aayad hotee hai,hazrat Umer Farooq razi Allah Tala ke jese door-e-hukumat ki zaroorat hai jahan aik kalb bhi bhooka nahi sota tha,lekin hum gov.ko blaim kerkey bareuzzmma nahi ho jatey humain zatee tor per bhi amal kerna chahiye,sirf Islam per hi amal kerney se aisee bohut saree problems se nijaat mil saktee hai.
Posted 02 Apr 2004

friend_16 says
jee haan Sana.. ur rite! .. laiken phir bhee.. hum sirf ye batain kehtay hain.. sooctay hain.. laiken in par amal nahi kertay! .. n fragi is rite .. haar kaam zero say hee start hoota hai.. hamain mill ker kuch kerna chaheee.. yoon khalee batain banaanay say kuch hasil nahi hoo ga!!






Posted 02 Apr 2004

SanaSana says
nahi Allah ka shuker hai hamarey gher ka mohole aisa hai ke parents khuid is baat ka bohut khayal rakhteyhain,ye sirf lips talking nahi hai,balkii Allah ka shuker hai is per amal bhi kiya jata hai.
Posted 02 Apr 2004

friend_16 says
nahi Sana .. i m not talking about parents .. yoon tu bohat say loogoon kay parents kahayal rakhtay hain..
Posted 02 Apr 2004

~Fragi~ says
so true .. yeh koi mushkil task nahi .. na hee is k liye koi big plannings chaiyee ... hum jitna kar saktey hain woh zaroor karien ..

so .. Yeh masoom khawishein na aab dabien gein .. yeh khawab aab na bikhrein gein
Posted 02 Apr 2004

SanaSana says
InshAllah............and hope for the best.
Posted 02 Apr 2004

friend_16 says
so where to start from fragi?? ..











Posted 02 Apr 2004

~Fragi~ says
wohi jo ideaz hain .. un mein sey kaam karna start kiya jaye ... apney neighbours ko bhi bola jaye ... and bus dilloon mein gareebon k liye mohabat baneyee jaye ..
Posted 02 Apr 2004

kuch practically karnay kay sath sath we should pray from Allah also na to help n to make their lives easier...coz only Allah can change anyone's fate...we just have to pray kay Allah aaisay sab bachoon ki lives ko asan karay takay unko bhi woh sab milay jo aik aam insaan ya aik bachay kay pas hai...Amin but practically we have to do something for this....n for this we have to motivate others also....
Posted 02 Apr 2004

CuteEsha says
acha idea hai fragi bahut achaa
Posted 03 Apr 2004

Ashii says
to phir ??
need some adds.. net pe bhi mil jate hein bohot

Posted 03 Apr 2004

~Fragi~ says
adds fo wat sall ji .. dekhain .. ager insaan sincere hoo to rastey khud miltey hain
Posted 03 Apr 2004

~Fragi~ says
Posted 04 Apr 2004

~Fragi~ says
Lost in a civilized Era ...
Posted 04 Apr 2004

nice work fragi...
Posted 05 Apr 2004

Reply to Topic