Car Traffic signal per rukti hai .. Red lite on hia .. eik 3 saal ka bacha haath mein pop corn liye car kee taraf aata hai ..bacha jis k na to payoon mein chapel hai na sir per roomal... tapti dophiar hai .. woh car waley ko dekhta hai aur totli zuban mein kehta hai k melay pop corn lelo mein ney rooti khani hai .. woh car wala us ko kehta ahi k chalo bhago yahan sey woh masoom mealey kucheley kaproon mein malboos bacha .. hasrat bhari nigahoon sey car mein bhetay bachoon ko dekhta hai jo skool sey wapsi per ghar jatey hoye ... garmee sey ghabra ker imported juice pee rahey hain ... Signal green hota hai .. aur woh car chal deti hai woh bacha .. dil mein dabi aur masoom khawhish liye footh paath per chal deta hai aur aglee car ka intezar karta hai
aab koi yeh bataye k us masoom ka kiya juram . woh gareebon k haan paida hoya to us mein us ka kiya kasoor ? us kee masoom khawishaat kiyoon nahi pori ho sakti ..us kee masoom hasratein hee to kal us ko chota chor .. phir pocket mar phr dakoo banayein gein ... per un sab sey bara zulam woh hoga .. jab us masoom ka dil tootey ga . woh masoom dil tootney ka jo guna hoga .. us kee hasratien jo na tamam hongi woh kis kee zimadari hogi ... yahan poverty control programs mein kiya hota hai .. Holiday Inn mein lunch phir seminar phir woh apnee land cruiser mein yahan woh apnee benz mein wahan .... ager kissi signal per koi bacha pop corn beechta hoya miley bhi to us ko kiya miley bus eik duthkar ?????
Age: 124
8262 days old here
Total Posts: 6584
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
good old days..... i will be wid u fragi... i will be in ur team for this purpose....don u worry we will work as a proper team on this issue.... as u say Boss....
Age: 124
7302 days old here
Total Posts: 844
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
bakhair
yes aap kuch bhi kar lein........................... ..................................................... ............................................. har naey safar mein bhi dhoop mere k sath ho gi