Aqal.Sharam..aur Mohabbat

659 views 12 replies
Reply to Topic
QUEEN VICTORIA

Age: 124
Total Posts: 26285
Points: 0

Location:
Lahore, Pakistan
Aik din aik nami girami hakim sahab kay pass " Aqal " aayee , Hakim sahab nay sawal kya kay tu kon hay aur kahan rehti hay?? to "Aqal " nay jawab diya kay " main Aqal hoon aur insaan kay dimagh main rehti hoon " kuch he dair main hakim sahab kay paas "Sharam " aaye , hakim sahab nay phir swal kya kay tu kon hay aur kahan rehit hay ??, tu "Sharam " nay jawab diya kay " main sharam hoon aur insaan ke aankh main rehti hoon " thori dair baad hakim kay sahab kay pass "Mohabat" aayee hakim sahab nay us say bhe yahi sawal kya kay tu kon hay aur kahan rehit hay ??to "Mohabbat " nay jawab diya kay " main mohabbat hoon aur insaan kay dil main rehti hoon " aglay din hakim sahab kay pass "Gussa " aaya , hakim sahab nay poocha tu kon hay aur kahan rehta hay?? to " Gussa" nay jawab diya kay " main gussa hoon aur insaan kay dimagh main rehta hoon " tab hakim sahab chonk ker bolay kay wahan to " Aqal " rehti hay , to gussa bola , "jab main aata hoon tab Aqal chalee jaatee hay " kuch dair baad "Ishq "aaya hakim sahab nay phir sawal kya kay tu kon hay aur kahan rehta hay ?? to Ishq nay jawab diya kay " main ishq hoon aur insaan kee aankh main rehta hoon " tab hakim sahab bolay kay wahan to "Sharam "rehti hay to Ishq bola " jab main aata hoon tab sharam chalee jaatee hay " kuch dair baad "Lalach" aaya , hakim sahab nay poocha tu kon hay aur kahan rehta hay?? to woh bola " main Lalach hoon aur insaan kay dil main rehta hoon " hakim sahab nay kaha kay wahan to" Mohabbat" rehti hay to lalach nay jawab diya kay "jab main aata hoon tab mohabbat chalee jaatee hay "


Posted 13 Apr 2004

Reply to Topic