Bheega Bheega Sa Yeh December Hai Bheegi Bheegi Si.. Tanhai Hai In Kitaabon Main Jee Nahin Lagta Hum Ko Sajni Ki Ya..ad Aai Hai Bheega Bheega Sa December Hai
*music*
Shaam Ki Kaali Aankhain Jab Palkon Ko Chapkaati Hain Kissi Pair Kay Neechay Kuch Yaadain Gungunaati Hain Kuch Pyar Kay Aadhay Nagmay Aadhi Pyar Ki Kahaani.. Aik Shehar Ka Raja.. Aur Ek Gaon Ki Rani Donon Baray Premi Thay Ban Main Aaya Kartay Thay Unkay Pyar Kay Meethay Nagmay Panchi Gaaya Kartay Thay Ab Na Premi Hain Na Woh Baatain Hain Aur Yaadain Hi Apni Kamai Hai.. In Kitaabon Main Jee Nahin Lagta Hum Ko Sajni Ki Yaa..ad Aaaai Hai....
*music*
Is Kamray Ki Khirki Baarish Ka Shor Sunati Hai Aur Tumhari Aahat Hum Ko Yeh Rog Lagaati Hai.. Ab Kay Saal December Main Jab Ban Main Mein Jaoon Ga Neeli Jheel Darakhton Kay Saayay Aur Sookhay Pattay Saaray Tera Poochain Gain Kahan Hai Tera Poochain Gain Tera Premi Yaar Kahan Hai Saaray Tera Poochain Gain Kya Bataoon Ga Kya Kahaani Hai Ab To Qismat Main Apni Judai Hai.. In Kitaabon Main Jee Nahin Lagta Hum Ko Sajni Ki Yaa..ad Aai Hai...
*music*
Shaam Dhallay Jab Panchi Apnay Apnay Ghar Jaatay Hain Koi Mujhay Batlayay Mujhko Yeh Kyun Tarpaatay Hain Mainay Bhi Ek Sapna Dekha Tha Apnay Ghar Ka.. Kho Na Jaye Mera Panchi Lekin Mujhko Darr Tha Mera Yeh Afsaana Hai Saara Yeh Afsaana Hai Mera Panchi Rasta Bhoola Pagal Hai Anjaana Hai Tu Gaya Hai To Mainay Jaana Hai Mera Dil Ab Bhi Tera Deewana Hai In Kitaabon Main Jee Nahin Lagta Humko Sajni Ki Ya..ad Aai Hai...
Bheega Bheega Sa Yeh December Hai Bheegi Bheegi Si.. Tanhai Hai In Kitaabon Main Jee Nahin Lagta Hum Ko Sajni Ki Yaa..ad Aai Hai...