romanceFree Web space and hosting - ourfamily.com Sign up for NetZero Internet
Access today! Only $9.95 per month.
Kaun Kehta Hai Mohabbat Ki Zubaan Hoti hai ?
Yeh Haqeeqat tou Nigaahon se bayaan hoti hai
Bhool kar Tum ko Naa Jee paaein gey
Saath Tum do gee jahaan, jaaein gey
Hum koi "Waqt" nahin hain Humdum
Jab bulaao gee, chalein aaein gey
Kissi Din.....
Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din
Kiya Roz garaj-tey ho, baras jaao kissi Din
Raazon ki tarha utro merey Dil mein kissi shab
dastak pe merey haath ki khul jaao kissi Din
Phoolon ki tarha "husn" ki baarish mein naha loon
Badal ki tarha jhoom ke ghir aao kissi Din
Khushboo ki tarha guzro merey Dil ki gali say
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kissi Din
Phir haath ko khairaat miley bund qaba ki
Phir Lutf -e- shab-e-wasl ko dohraao kissi Din
Guzrein jo merey ghar sey tou ruk jaaein Sitaarey
Iss tarha meri Raat ko chamkaao kissi Din
Mein Apni har aik saans ussi raat ko dey doon
sar rakh ke merey seeney pe so jaao kissi Din
(Amjad Islam Amjad)
____________________________________________________________ __________________
A PRAYER
Na shikaayatein, na gilaa karey
Koi aisa shakhs hua karey
Jo merey liye hee saja karey
Mujh hee sey Baatein kiya karey
Kabhi royey jaaey woh bepanaah
Kabhi be-tahaasha udaas ho
Kabhi chupkey chupkey dabey qadam
Merey peechay Aa kar, hansa karey
Meri qurbatein, meri chaahatein
Koi yaad kare qadam qadam
Mein taveel safar mein hoon agar
Meri waapsi ki Dua karey
____________________________________________________________ __________________
AISA LAGTA HAI........
Ais lagta hai....
Jo Na hua........ Honey ko hai
Aisa lagta hai
Ab Dil Mera...Khoney ko hai
Warna Dil kiyon dharakta
Saansein kiyon rukteen
Neendein meri Kiyon Urr jaateen
Aisa lagta hai
Koi.....Chehra nigaahon pe chaaney laga
Koi.... ab roz khawaabon mein aaney laga
aai rut jo Nai
Jaagey Armaan kai
Mausum..... koi Ghazal jaisey gaaney laga
Aisa lagta hai....
Jaisey Nasha...... honey ko hai
Aisa lagta hai....
Hosh Mera khoney ko hai
Mehki.... Mehki Fiza ne le Angraaiyaan
Neeli..... Neeli hain Badal ki parchaaiyaan
Thundi... Thundi hawa laai Raag naya
Goonji....Goonji si hain jaisey Shahnaiyaan
Aisa lagta hai,
Koi Mera honey ko hai
Aisa lagta hai
Hur Faasla.......khoney ko hai
____________________________________________________________ __________________
GHAZAL
Barson ke baad dekha, Aik shakhs Dilruba saa
Ab zehen mein naheen hai , per naam tha bhala saa
Ubroo khichey khichey sey, Aankhain jhuki jhuki see
Baatein ruki ruki see , Lehja thaka thaka saa
Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein
Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa
Khawabon mein khawab Uss ke, Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa
Pehley bhi zindagi mein, kitney hee loug aaey
Woh her tarha sey lekin, auron sey tha juda saa
Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen
Taaza Rifaaqaton sey, Dil tha dara dara saa
Kuch yeh ke muddaton se, Hum bhi nahi thay roey
Kuch zeher mein bujha tha, ahbaab ka dilaasa
Ab such kahein tou yaaro, Hum ko khaber naheen thi
Bun jaaey ga qayamat, Aik waaqaya zara saa
Tewer thay berukhi key, andaaz dosti key
Woh ajnabi tha laikin, lagta tha Aashna saa
____________________________________________________________ __________________
Aik Baat Kahoon ?
Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho
Kuch chanchal se , kuch chup chup se
kuch pagal pagal lagtey ho
hain chahney waaley aur buhut
par tum mein hai aik baat buhut.............
Tum apney apney lagtey ho
Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho
Yeh baat baat pe kho jaana
kuch kehtey kehtey ruk jaana
yeh kiss uljhan mein rehtey ho....?
Kiya baat hai hum se keh daalo
Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho
(Nasir Kazmi )
____________________________________________________________ __________________
Tum Raaz Agar Hotey.......
Tum Raaz agar hotey, Mein Dil mein chhupa leti
Muskaati hui Aankhein, aelaan na bun jaaein
Jab naam tera aata, Palkon ko jhuka leti
Tum meri taraf chal kar, jiss raah se bhi aatey
Hur simt meri Aankehin, qadmaon ke taley paatey
Aik meethi hansi , hans kar , sow phool khilaa jaatey
Yeh Phool Utha leti, Rangon mein naha leti
Tum Raaz agar hotey, Mein Dil mein chhupa leti
Tum meri umeedon ki kashti ke liyey Saahil
manzil ke liyey Rusta, Aankhon ke liyey Kajal
Tum Dhoop mein jab aatey, bun jaati waheen Badal
Aawaaz agar hotey, Geeton mein saja leti
Tum Raaz agar hotey, Mein Dil mein chhupa leti
(Amjad Islam Amjad )
____________________________________________________________ __________________
GHAZAL
Suna Hai Loug "Ussey" Aankh bhur ke dekhtey hain
So "Uss" ke Sheher mein kuch din theher ke dekhtey hain
Suna hai boley tou baaton se phool jhartey hain
yeh baat hai tou chalo baat kar ke dekhtey hain
Suna hai Raat ko ussey Titliyaan sataati hai
Suna hai Raat ko Jugnoo theher ke dekhtey hain
Suna hai uss ke badan ki taraash aisi hai
ke phool apni qabaaein katar ke dekhtey hain
Rukey tou gardishein uss ka tawaaf karti hain
chaley tou uss ko zamaaney theher ke dekhtey hain
Kissey naseeb ke be-pairahan ussey dekhey
kabhi kabhi dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain
kahaaniyaan hi sahi , sab mubaalghey hi sahi
agar "woh" khawaab hai , "Taabeer" kar ke dekhtey hain
Judaaiyaan tou muqadder hai phir bhi jaan-e-safar
kuch aur door zara saath chal ke dekhtey hain
"Toou" saamney hai tou phir kiyon yaqeen nahin aata
yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhtey hain
yeh kaun loug hain maujood teri mehfil mein
jo Laalachon se Tujhey ....Mujh ko jal ke dekhtey hain
Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui
So Ab ke donon hi chaalein badal ke dekhtey hain
Buhut dinon se nahin hai kuch "Uss" ki khair khabar
chalo Faraaz ko, Aey Yaar chal ke dekhtey hain
( Ahmed Faraz )
____________________________________________________________ __________________
Suhaag Raat
Aaaj ki Raat muraadon ki Baraat aai hai
Aaj ki raat nahin shikwey, shikayat ke liyey
Aaj hur lamha, hur aik pal hai Mohabbat ke liyey
Reshmi saij hai, mehki hui Tanhaai hai
Aaaj ki Raat muraadon ki Baraat aai hai
hur Gunaah aaj Muqaddas hai Farishton ki tarha
Kaanptey haathon ko mil jaaney do Rishton ki tarha
Aaj milney mein na uljhan hai, na ruswaai hai
Aaaj ki Raat muraadon ki Baraat aai hai
Apni zulfein merey Shaaney pe bikher jaaney do
Iss haseen raat ko kuch aur Nikher jaaney do
Subha ne aaj Na aaney ki Qasam khaai hai
Aaaj ki Raat muraadon ki Baraat aai hai
(Sahir Ludhyaanvi )
____________________________________________________________ __________________
TEREY HONTON(LIPS) KO SALAAM
Terey honton ko salaam
Terey honton ko salaam
J