dildilpakistan
Age: 124
Total Posts: 33
Points: 0
Location:
United States, United States
Fasaloon ko taqaloof hai...
{Faslon ko takalluf hai hum se agar,
hum bhi bebas nahin besahara nahi.
Khud unhi ko pukarengey hum door se
Raaste mein agar paon tak jayengey }
Hum Madine mein tanha nikal jayengey
Aur galiyon mein kus dun batak jayengey
Hum wahan jakey wapas nahin ayengey
Doond te doondte log tak jayengey
Jaise hi sabz Gumbad nazar ayega
Bandagi ka kareena badal jaye ga
Sar juka ne ki fursat miley gi kisey
Khud hi palkon se sajdey tapak jayengey
Naamey Aaka jahan bhi liya jayega
Zikr unka jahan bhi kiya jayega
Noor hi noor seeno mein bhar jayega
Sari mehfil mein jalwe lapak jayegey
Eh Madiny ke zahi KHuda ke liye
Daastaan ne safar mujko yumad suna
Baat bhar jayegi dil tarap jayega
Mere mohtat aasoo chalak jayege
Unki chashme karam ko hai iski khabar
Kis musafir ko hai kitna shaukey safar
Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili,
Hum bhi Aaka ke darbar tak jayegeney
Faslon ko takalluf hai hum se agar,
hum bhi bebas nahin besahara nahi.
Khud unhi ko pukarengey hum door se
Raaste mein agar paon tak jayengey