X Man said:Safar Tanha nahi kartay ....
Suno Aisa nahi kartay .....
Jisay Shafaf rakhna ho.....
Usay Mela nahi kartay .....
Safar jis ka muqadar hai ....
Usay roka nahi kartay .....
Ye Onchay paird(Tree)kesay hain
Kahin saya nahi kartay ......
Bohut ujray huy gher per....
Bohut socha nahi kartay ....
khaatin hai rah-guzr, thori dooR sath chalo
bohut karra hai safr thori dooR sath chalo
tamaam umr kahaan koi sath dai-ta hai
yeh jan ta hooN magar thori dooR sath chalo
Nashe mein choor hooN mai bhi tumhein bhi hosh nahin
baRRa maza ho agar thori dooR sath chalo
yeh aik shub ki mulaqaat bhi ghaNimat hai
kise hai kal ki khabr thori dooR sath chalo
abhi to jaag rahae hein chiragh rahooN ke
abhi hai dooR sahr thori dooR sath chalo
tawaf-e-manzil-janah hamein bhi karna hai
Faraz tum bhi agar thori dooR sath chalo
juz teray koi bhi din raat na janay meray
tu kahaN hai magr Ah dost puranay meray
tu bhi khushboo hai magr mera tujusus bekar
burg-e-awara ki maninth dikhAnay meray
shumA ki lau thi kay wo tu tha magr hijr ki raat
dair tuk rotA raha koi sirhanay meray
khalq ki beKhabaree hai keH meree ruswa'ee
looq mujh ko hi sunatay hein fusanay meray
lut keh bhi khush hooN keh ashkooN se bhara hai daaman
dekh gharat gare dil yeh bhi khazane mere
Aaj ik aur burS beeth gya oos kay beghair
jis kay hotay hooay hotay thay zamanay meray
kaash tu bhi meri awaaz sunta ho
phir pukara hai tujhe dil ki saada ne mere
kaash tu bhi kabhi aajaye masiha'ee ko
loog aate hein bohat dil ko dukhane mere
kaashi aurooN ki turhaaN mein bhi keH sukta
baat soon li hai meri, aaj khuda ne mere
to hai kis haal mein aih zood-faramosh mere
mujh ko tu cheen lya aihed-e wafa ne mere
chara-gr yooN tu bohut heiN magr aeh jaan-e-faraz
juz teray aur koi zaghum na janay meray
tum bhi khafa ho loog bhi burhum hein dosto
ab ho chala yaqin keh bouray hum hein dosto
kis ko hamare hal se nisbut hai kya karein
aankhein to dushmanooN ki bhi purnum hein dosto
apne siwa humaray na hoonay ka ghum kise
apni talaash mein to humein hum hein dosto
kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujha bujha
kuch shahr ke chiragh bhi mudhum hein dosto
iss shahr-e aarjo se bhi baahar nikal chalo
ab dil ki raunaqein bhi koi dum hein dosto
sub kuch sahi Faraz per itna zaroor hai
dunya mein aise loog bauhut kum hein dosto
teri bataain hi sunanay aa'e
dost bhi dil hi dokhanay aa'e
phool khilte hein tu hum sochtae hein
teray aanay ke zamaanay aa'e
aisi kuch chup si lagi hai jaise
hum tujhe haal sunanay aa'e
ishq tunha hai sir-e munzil-e ghum
kaun yeh boojH uthanay aa'e
ajnabi dost humein dekh keh hum
kuch tujhe yaad dilaanay aa'e
dil dharakta hai safr ke hungaam
kaash phir koi bulanay aa'e
ab tu rounay se bhi dil dukhta hai
shaid ab hosh thikanay aa'e
kya kahein phir koi busti ujri
laug kyooN jashun mananay aa'e
so raho maut ke pahloo mein Faraz
nind kis waqt na janay aa'e
(
qurbatooN mein bhi juda'ee ke zamaanay maaNge
dil wo be-mehr keh roonay ke bahaanay maaNge
hum na hotay to kisi aur ke churchay hotay
khuqat-e shehr tau kehnay ko fusaanay maaNge
yeh-hi dil tha keh turusta tha maraasim ke lya
ab yeh-hi turk-e talug ke bahaanay maaNge
zindagi hum tere daghooN se rahe sharminda
aur tu hai keh sada aina khaanay maaNge
dil kisi haal per qaanay hi nahin jaan-e faraz
mil gaye tum bhi tau kya aur na jaane maaNge
lufzooN mein fusaanay dhoondtay hein hum log
lumhooN mein zamaanay dhoondtay hein hum log
tau zeher hi de sharaab keh ker saqi
jeenay ke bahaanay dhoondtay hein hum log
yeh daur meh-o jaam chale ya na chale
nashay se bhi phir kaam chale ya na chale
hum aihl-e kharaabat se yoon bair na rukh
saqi tera kal naam chale ya na chale
hur zaghum ko seenay peh saja laite hein
her dard ko hum dil mein basa laite hein
tum pholoon peh soutay ho tu dukhta hai badan
hum kantoon ko aankhooN se laga laite hein
hum bhi khud dushman-e jaaN thay pehle
tum magar dost kahaN thay pehle
ab wahaN khaak ooratee hai khizaaN
phool hi phool jahaaN thay pehle
ab jo deewar bunay baithay hain
soorat-e mooj rawaaN thay pehle
kuch sharabee keh hein ab rah nasheeN
ronaq-e buzm-e maghaaN thay pehle
hum keh hein aaj ghobaar puss-e ro
munzil hum sufraaN thay pehle
ab kise waza-e mohabbat ka khayal
aur hi loag yahaan thay pehle
ab to khudh per bhi nahin zaam-e wafa
tujh se hum shikwa kinaaN thay pehle
bun gya kafla chaltay chaltay
wurna tunha hi rawaan thay pehle
dolat-e ghum tau moyashar thi Faraz
itne muflis bhi kahaan thay pehle
tujh se mil ker bhi kuch khafa hein hum
be-maruwut nahin tau kya hein hum
hum ghum-e karwaan mein baithe thay
laug sumjhe shikasta pa hein hum
is turhan se humein raqeeb milay
jaise mudat ke aashna hein hum
raakh hein hum agar yeh aag bujhi
juz ghum-e dost aur kya hein hum
khud ko sunte hein iss turhaaN jaise
waqt ki aakhri sadaa hein hum
kyon zamane ko dein Faraz ilzaam
wo nahin hein tu be wafa hein hum
na hareef-e jaan, na shareek-e ghum, shub-e intazaar koi tau ho
kise buzm-e shauk mei lain hum, dil-e be-qarar koi tau ho
kise zindagi hai aziz ab, kise aarzoo-e shub-e taurub
magar ai nigar-e wafa talub, tera aitebar koi tau ho
kahin taar daman-e gul milay tau yeh maan lain keh chamun khile
keh nishan fasul-e bahar ka sur-e shakhsaar koi tau ho
yeh udaas udaas se baam-o dar, yeh ujar ujar si rah guzr
chalo hum nahin na sahi magar sir-e ku'a yaar koi tau ho
yeh sakoon-e jaan ki ghari dhale tau chiragh-e dil hi na bujh chale
wo bala se ho ghum-e ishq ya ghum-e rozgaar koi tau ho
sir-e muqtil-e shub-e aarzoo hai kuch tau ishq ki aabroo
jo nahin aadoo tau Faraz tu keh naseeb-e daar koi tau ho
ho'yee hai shaam tau aankhoon mein bus gaya phir tu
kahan gaya hai meray shehr ke musafir tu
mein jaan ta hoon keh dunya tujhe badl de gi
mein maan ta hoon keh aisa naheen bazahir tu
bicharna hai tau hansi khushi se bichar ja
yeh kya sochta hai hur muqaam peh aakhir tu
Faraz tu ne oose mushkiloon mein daal dya
zamana sahib-e zar aur sirf shair tu
ab aur kya kisi se marasim burha'ein hum
yeh bhi bohut hai, tujhe bhool ja'ein hum
sehra-e zindagi mein koyee dosra na tha
sunte rahe hein aap hi apni sada'ein hum
iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb
itna na yaad aa ke tujhe bhool ja'ein hum
tu itni dil zada tau na thi ai shub-e firaq
aa tere raaste mein sitare lota'ein hum
woh log ab kahan hein jo kehte they kal faraz
heh heh khuda na karda tujhe bhi rula'ein hum
(
kaun aata hai magar aas laga'ay rukhna
umr bhar dard ki shuma'on ko jala'ay rukhna
dost pursish peh mosr aur hamara shaiwa
apne ahwaal ko khudh se bhi chupa'ay rukhna
oos ki chuka chaund mein aankhein bhi gunwaa baidho gay
oos ke hoote huay pulkoon ko jhuka'ay rukhna
runjish hi sahi, dil hi dokhanay ke liye aa
aa phir se mujhe chor ke jaanay ke liye aa
kuch tau meray pindar-e mohabbat ka bharam rukh
tu bhi tau kabhi mujh ko mananay ke liye aa
pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi tau
rusm-o rah-e dunya hi nibhanay ke liye aa
kis kis ko bataein gay joda'yee ka sabab hum
tu mujh se khafa hai tau zamanay ke liye aa
ik umr se hoon lazat-e giryaa se bhi mehroom
ai rahat-e jaan mujh ko rulanay ke liye aa
ab tuk dil-e khush feham ko tujh se hein umidein
yeh aakhari shumein bhi bujhanay ke liye aa
Kabhi hansanay say dartay nahi
Kabhi roya nahi kartay ...
Chalo tum raaz ho apna.....
Tumhain Afshaan nahi kartay ...
Sahar say poch lo Mosin"
K HUm soya nahi kartay ....
parhty raho