Age: 124
8159 days old here
Total Posts: 22153
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
*detail mein answer karny ko dil kar raha hay... so bear with me.
"sony mein tolna" ...... urdu ka mahawra hay .... kafi arsay k baad suna aur dekha .... purani yadein taza ho gayein ... jis ka matlab mujhay abhi tak yaad hay "izat afzaye karna or kissi insaan ko us ki khisi khaas (special) salahiyat (skill/quality) par us kay wazan k mutabiq sona (GOLD) dyna."
yeh tarjuma / translation / interpration ... is mahawray ki jahan tak mujhy yaaad hay .. yeh hi hay. ek fiqra /sentance hum aksar bolty hein har insaan ki apni khawahish hoti hay apny kaam karny ka tareeqa hota hay ... they express their joy in different ways.... khushi ka izhaar karna kissi ko sarahna /appreciate karna us k apny mizaaj matlab us ki apni khushi / khawahish par hota hay k woh kyse aur kia karta hay.
yahan ek baat bilkul waziah (clear) hay k Janab Awais Raza Qadri sahib ko "sonay mein tola ja raha hay" matlab un ko inaaam diya ja raha hay ... un ki izaat ki ja rahi hay ... un ki salahiyaat (skill / quality ) ko saraha ja raha hay... Gratitude has been given to him on his extraordinary excellence as a “NAAAT KHAWAN”.
aaj se 5-6 saal pehly Pakistan k kafi cassete stores / music centers par ginti ki kuch tapes hoti thien "NAAT WALI CASSETES". un k display par Movies stars k posters hoty they..... fir jab Paksitan mein Naat ki rooh taza howi ... Naatein parhna start howi ... Awaiz Raza Qadri jayse logoun Ki naatein logoun nay sun-na start ki tab kafi logoun nay apny computers / mobiles par naatein rakhein ..... rasty bazaroun par aap ko naatoun ki awaazein sunayein diein. music center k display par Naaat k new volume k poster lagay.
in sab batoun ko bhi choar diya jaye aur wapis sawal k upper aya jaye ky yeh sahi hay k ghalat .... good or wrong .... tu ek aur baat bhi zehan mein ati hay .... jab koi cricket team ek match jeet (win) kar ati hay sab team k members ko phooloun k haar pehnaye jaty hein .... 10 - 10 marlay k plot issue kiye jaty hein ... captain ko 1 kanaal ka plot issue kiya jata hay... man of the match ko ... BIG CHEQUE (specimen of orignal cheque) kuch thosand dollar ka diya jata hay. kabhi koi car win karta hay .. woh car ki chaat (roof) par beth kar puri ground ka chakar lagata hay. Singers ko un ki album hit hony par pride of performance diya jata hay. Movie stars ko Nishaan e Sadarat diya jata hay ..... kartab dekhany walay ko "great performar" kaha jata hay. Miss World ko ... sonay ka taj (crown) pehnaya jata hay .... ek jholay par khara kar k stage k upper ly jaty hein....
har insaan ki zati raye hoti hay istarhan mere bhi raye hay k agar koi "SHAN E MUSTAFA SAW" biyaan karta hay ... NAAT PARHTA HAY agar us ki IZAT AFZAYE HO RAHI HAY. us ko tareeqa kuch bhi ho ..... niyaat ehtaram ki ho .... jis shakhas ki ankhoun se "frt e musarat" (khushi) yeah "Inkasari" (humbleness) ki wajah se ansoo jari hon. (ALLAH SWT NIYAAT KA HAAL BEHTAR JANTA HAY..... BUT HUM MEIN KISSI KO HAQ NAHI PUHANCHTA K BAGAIR KISI REASON K KISSI KI NIYAAT PAR SHAQ KAREIN).
apny hathoun apna mazak nahi urahana chahiye.... ALLAH SWT ISLAAAM aur MUSALMANOUN ki madad farmaye hum ko hidayaat day ... hum har baat ka negative pehlo naah dekhein. Islaaam ki Hifazat karein ... Karnay ki koshish karein ..... AMEEEN