Age: 125
6310 days old here
Total Posts: 1692
Points: 0
Location:
Wales, Wales
new_beau said:
Sawal yeh hay keh Larkiyaann Billionn kay saath bus mainn kiyun hainn...Aur agar woh bus mainn hayinn tou unn ko billionn kay saath ander kis nay aanay diya...aur agar bus chal rahi hay tou hum kaisay ginainn..aur agar bus ruki hui hay tou larkiyaann bus say baaher kiyun nahin aa jaatinn...aur Larkiyaann bag kholainn gi tou hum taangainn ginainn gay na..ho sakta hay koi aik billi ajeeb-ul-khalqat ho aur uss ki chaar say zyaada taanaginn honn ...ya kisi aik billi ki uss kay husband nay taan tor di ho...Aur agar larkiyonn nay bag khola tou billiaann bhaag jayenn gi....aur agara billiaann bhaag gayeenn tou ginainn gay kaisay....
Age: 125
6310 days old here
Total Posts: 1692
Points: 0
Location:
Wales, Wales
~CHANDNI~ said:
~dead heart~ said:
Aa kisi sham kisi yaad ki dehleez pe aa Umr guzri tujhay dekhay huay, behlaye huay Yaad hai? Hum tujhay dil mantay thay Teray her nukhray ki fermaish per Aik jeewan ki tamannaon ki beenai say hum dekhtay thuktay hi na thay Sochtay thay Aik chota sa naya ghar Mohabbat ki faza Hum donon Aur kisi baat per takyon say larai apni Phir larai main kabhi hanstay huay ro perna Aur kabhi rotay huay hans perna Aur thuk haar key gir pernay ka masoom khush buksh khayal Yaad hai? Hum tujhay sukh jaantay thay Raat hans perti thi bay sakhta dershan say teray Din teri doori say ro perta tha Yaad hai? Hum tujhay jaan kehtay thay Teri khamoshi say hum mer jatay Teri aawaz say jee uthtay thay Tujh ko choo lenay say ik zindagi aa jati thi sheryanon main Thaam lenay say koi sheher sa bus jata tha weeranon main Yaad hai? Hum tujhay milnay kay liye Waqt say pehlay pohonch jatay thay Aur mulaqat kay baad Hum bohot dair say ghar aatay to kehtay hamain kuch na kaho Hum bohot dur say ghar aaye hain Is qadar dur say aaye hain keh shaid hi koi aa paye Yaad hai? Hum tujhay bhagwan samajhtay thay magar kufr say dar jatay thay Teray chin janay ka dar theek say rakhta tha musalmaan hamain Aa kisi sham, kisi yaad ki dehleez pe aa Teray bhoolay huay rastay pe liye phirta tha imaan hamain Aur kehta tha pehchan hamain Yaad hai? Hum tujhay imaan kaha kertay thay