Logo

is it ever too late?

kya waki aisa hota hai ke bohut dair hojati hai?

ya kya koi bhi waqt sahi hota hai to make things right again?


Posted on 10/6/2004 12:04:18 AM

hmmmm
theek hone liye ya karne liye its never late
par aisa hota hai k harr kaam wakt pe hi acha lagta hai
like for example kissi baat ki maafi mangni ho to kabhi hum itnaaa deir lagate hein k maafi apni value kho deti hai

hmmmmm,, par nahi yarrr it s never tooo late
jo karna hai kar jao, sirf niyyat imp hoti hai,,
waise bhi i believe result itna zaroori nahi hota,, jo theek hai woh karna zaroori hai,, dont ever think abt ppl or time or wotever

Posted on 10/6/2004 7:24:23 AM

nahi wo hai na ke der ayad durust ayad......

tu yehi soch ker ke ab kiya faida janey do...
iasa sochney se behter hai ke insaan wo step utha le....so that mazeed der na ho jaye.......

but




baz halat main aisa bhi hota hai.....ke wo kehte hai na ke
jab churiyan chug hayeen khait:

lekin aisa insaan ke khud apni kotahiyon ke sabab hota hai....
der honey hi kiyon dii jaye:)

Posted on 10/6/2004 12:30:13 PM

well nice and well sid.. lekin agar dair bhi hojae aur na aye.. to kya samjhein?

Posted on 10/7/2004 3:57:08 PM

sharara:
kya waki aisa hota hai ke bohut dair hojati hai?

ya kya koi bhi waqt sahi hota hai to make things right again?



i think ke it's wot kinda situation u're in

Posted on 10/7/2004 4:17:09 PM

exactly sitaution par bhee depend kerta hai .. n i agree with sall n sana too ... its never too late .. just pray to Allah .. n b positive .. everything will b fine..

Posted on 10/7/2004 4:57:45 PM

tu phir halaat ko aisey hi chor diay jaye..
apnii luck per ...
Allah jo bhi karey ga behter hi hoga...

hum sirf koshish hi tu ker saktey hain


Posted on 10/7/2004 7:31:51 PM

har kaam/baat ka aik waqt hota hai

kehtay hain na
phal mausam da
gal wailey de

Posted on 10/7/2004 8:39:17 PM

shahrukh khan:
agree with f16...always think positive...dont be hopeless...like ppl does...if you count on ALLAH..Allah will surely help you" Sabar ka phal meetha hota hai"


i agree with u but allah ji also said i will help those who will help themselves

Posted on 10/8/2004 7:09:04 PM

yeah rafia u r rite

Posted on 10/8/2004 7:34:28 PM

shary dear
hab tak saans chal rahi hai na tab tak umeed saath hai

jab saans ruk jae gi hum to tab kahein ge k han wakai deir ho gai

Posted on 10/8/2004 7:44:09 PM

hum nahin dosrey kahein gay k deir ho gyee

Posted on 10/8/2004 7:58:27 PM

tarash.. akhir kaar chor diya na? phir bhi nahi bolna ke dair hogaee.. kam se kam sall ki iyat to achi hai..
chalo theek hai.. phir intizaar shuru.. ummeed shuru.. pehle jo aye.. ya woh ya maut

Posted on 10/10/2004 10:21:15 AM

late .,...



late mein hee kiyoon hoya


koi aur kiyoon na late hoya


mera kiya kasoor tha

mujhe kiyoon mili itnee saza

Posted on 10/10/2004 11:18:56 AM

saza denay walay ko pata ho ga

Posted on 10/10/2004 2:41:06 PM

sharara:
tarash.. akhir kaar chor diya na? phir bhi nahi bolna ke dair hogaee.. kam se kam sall ki iyat to achi hai..
chalo theek hai.. phir intizaar shuru.. ummeed shuru.. pehle jo aye.. ya woh ya maut



paiwasta reh shajar se aur umeed e bahar rakh

Posted on 10/10/2004 2:43:14 PM

Tarash.. ek aisi baat boli hai aaj.. ke waqi.. bohut kuch yaad diladiya..
koi mujhe hamesha yehi baat yaad rakhne ki aadat dalne ko kehte the...

i hope so too.. lekin pareshaan houn

Posted on 10/11/2004 2:19:15 AM

INTEZAAR TO HAI

   

    us ko mera halka sa ehsaas to hai

        be dard sahi woh meri humraaz to hai

          

       woh aaye na aaye mere paas lekin

        shidat se mujhe us ka intezaar to hai

            

            abhi nahi to kya hua mil hi jayengi kabhi

        mere dil main us se milan ki aas to hai

       

        pyaar ki gawahi mere aanoon se na maang

            barasti nahi aankhen magar dil uddas to hai


Posted on 10/11/2004 2:54:15 AM

taras k bache
daal daala kache
woh haal karu gi k sab taras kha'ain ge tum pe




khekehkee..
btw log yeh nahi kahein ge
log kahein ge
Allah ka shukar hai,, museebat tali

Posted on 10/11/2004 10:17:20 PM