Logo

-- Hassan Abdal --




















Yahan khana khaya hum ne



aur hum phir bhi beemar nahi hue




yeh JB members jab jb pe nahi hote to yeh kar rahe hote hein

Posted on 1/20/2005 10:29:19 PM

nice place wid pleasent atmosphere

Posted on 1/20/2005 10:39:03 PM

ahaan nice place n nice picx

Posted on 1/21/2005 2:22:54 PM

aaap k mu mei khaaak..
me wakai aaj beemar ho gai hu

Posted on 1/21/2005 3:12:56 PM

areyy,,,
akele akele beemar hone mei maza nahi hai
hum apne germ phelane aae hein


Posted on 1/21/2005 3:15:46 PM

jiii nahi,,
yeh lo....

aaaaaaaaaatttt tchuoommmmmmmmmmm
khoo khoooo ahoooooooo..

aish karo

Posted on 1/21/2005 3:21:35 PM

lolzzzzzzzzzzzzz

Keep it up

Posted on 1/21/2005 5:11:19 PM

can't believe tum meray itnay pass sei ho kay geye ho

Posted on 1/21/2005 6:39:56 PM

SALL:
aaap k mu mei khaaak..
me wakai aaj beemar ho gai hu



Subhanallah

Posted on 1/21/2005 8:24:54 PM

areyyy yarr,,,
yakeen kar lo,,, woh pic me ne hi to li hai naaa,,
tum paise kam nahi kar rahe the to abbu ne phir tum se malte khareede bhi nahi


frangi badtameez
mere beemar hone pe itna khusshhhhhhh

Posted on 1/21/2005 9:55:53 PM

MASHA ALLAH



Posted on 1/22/2005 3:00:09 PM


SALL:

Gordavara Punja Sahib jaha haar saal sikh zeyarat kay leye aatay hain(essi leye ess saal sall be ayee hai zearat ko)....bahir sei dekhnay sei ye emaraat koi Government school lugti hai.....yelow pait hai ess paar.....ye uss kay main gate ki pic hai.....jis kay samnay hasand abdal ka mashoor-zamana bazzar urff aam mein lunda bazar be kaha jata hai.......jaha cheezeen bohot sasti sasti milti hain.......


gate sei undar ayeen tu sub sei pehlay ess building paar nazar jati hai jaha punja sahib ki akhri aaramgha hai.......jaha sikh matha teektay hain


ye woe pathar hai jis kay baray mein mashoor hai....kay aik dafa hasand abdal ki pahari ghirnay lugi thi tu unhoon nein apnay hath sei esay roka wagera......jis ki waja sei un kay hath ka nishan ess paar reh gey.....

ye jo pani aa raha hai ye aik talab hai Gurdavaray kay center mein jaha nahanay sei sikhoon kay saray gunah jaar jatay hain.........(gunah jaryeen na jaryeen magar app ko yaha nahanay sei KHURAK zaroor paar sakti hai)


enn machlyoon kay baray mein ravayaat hai kay en ko agar app hath mein pakrayeen gey tu ye khoon bun jayeen gey..................kuch saal pehlay tu bohot bari bari machliyaan thi yaha.....magar aab logoon ko pata chala geya hain en ko hath mein pakranay sei na ..paeet mein utarnay sei khoon banta hai.........


i think ye gurdavay kay undar ki emart hai ??? mein yaha nahi geya kabi


Sara Hasan Abdal he takreeban aesay he gheroon ka hai....abi tuk waha neye gher bananay nahi shuru hoyee kue kay ghar aik dosray sei kuch ess tarha juray hain kay aik dewaar be geranay sei pooray muhalay kay ghirnay ka aandesha rehta hai............vesay shaied tum androon muhalay mein nahi geye..........looks romantic to peoples like us paar un sei pochoo jo waha rehtay hain.



hayeeeeee bachpan mein hum aksaar yaha aatay thay.........ye aik Gardan kay undar wakeyee hai ....uss gardan mein hum patangeen lotatay thay.............haaaaaa koi lo ta dei woe pyaray pyaray din............vesay vakeyee ye kisi hakeen ka makbara lugta hai kue hai yaha sei hamesha PHAKI ki khushboo aati rahti hai................


ye ussi bagh ka main gate hai............ore ess kay baray mein ravayeet hai....kay yaha shehzada Lalarukh ki rukh rehti hai....jo apni shehzadi lalzar ko dhoond raha hai............ussay aaj tuk nahi mili tu hameen kya milay gey yehi soch kay hum nein mohabaat na karnay ki kasam kha rukhi hai...............................vesay shaied tumheen yaad ho shuru shuru mein jub mein ayaa tha Jb paar tu mein nein stories ka aik silsala shuru kaya tha Jinoo Bhootoon kay sachay Wakeyaat kay naam sei.......woe story essi eelakay kay thi.........




Ye abb sall hameen apnay ghar lei ayee hai.
ahhhhh kekekekeke





Yahan khana khaya hum ne .............wesay mein yaha kabi nahi geya khana shana khana pata nai kon sa juga hai.......



aur hum phir bhi beemar nahi hue


ye tum meray city kay bilkul samnay GT Road sei guzar rahi ho ore jhoolay kay pechay jo Ebaraat likha hai woe ess tarha hai.....Eido Aankhoon ka Hasaptal...jaha sei sall nein apnay leye 16 number ka Chasma banvayaa tha.....Mr Sall Jhoola lei raha hai.........ore Mrs Sall apnay Kochoo Pochoo kay sath kheeri hain...

yeh JB members jab jb pe nahi hote to yeh kar rahe hote hein

Posted on 1/22/2005 4:30:19 PM


nice post
ab hoor mein kee akha(kahoon)


Posted on 1/22/2005 5:13:08 PM

hahahahahahhahaaaaaaaaa....
fredddyyy,,
hehehhe...


oayyy yahan koi ruh vagera nahi hai,, aur hai bhi to uss ne humein nahi roka..
waise rite abt fishes, me ne bhi suna hai k khane wala andha ho jata hai,,,   freddy ne bhi khai hogi tab se akal ka andha hai



stooopid pa jiii
kher nal aao,,
te kuj na akho

Posted on 1/22/2005 5:43:01 PM

zarori itlah:
raat 10 baje se subah 6 baje tak
hindu sikh zaireen ka dakhla panja
sahab mai band hai..iske ilawa musalmaan
hazraat ka gurdwaray mai dakhla mukammal
tore par band hai..

how did you ppl sneaked inn..??
im wondering

Posted on 4/2/2006 5:51:19 PM

HasanAbdal mere khawish thee yahan parhne ki

Posted on 4/2/2006 6:51:18 PM

ye kya ho raha hae

Posted on 4/2/2006 11:59:33 PM

Teen Tracker:
HasanAbdal mere khawish thee yahan parhne ki



cadet college..i too wanted to..but failed badly in the entry test..lolz

Posted on 4/3/2006 9:18:02 AM

andar jana koi mushkil nahi hai
"wleiti" logon ko koi kahin jaane se nahi rokta

'no entry board' aam logon liye hai



ahann,, cadet college
woh kahan tha,, hum ne dekha nahi

Posted on 4/3/2006 4:06:00 PM

ahmed shah abdali

Posted on 4/4/2006 7:56:07 AM

Yeh koi park hai keyaaaaaaa?????

Posted on 4/4/2006 11:11:11 AM