Logo

- ISLAM : use with moderation -

oupss..
gussa hone ki kya baat hai
it s not my opinion,, yeh me ne observe kiya hai


im sure u have something to say abt it

Posted on 3/11/2005 6:14:48 PM

moderation... kis moderation ki baat kar rahi hain

Posted on 3/11/2005 6:41:07 PM

hehehe,,
matlab k kam kam istemal karo
sirff jahan zuroorat ho

Posted on 3/11/2005 7:11:08 PM

acha, main samjha ab yani Mush jo rozana kehta hai apnay aamal say kehtay tu ham yahi hain aur yeh mat kahiyega kay women are exceptions..

Posted on 3/11/2005 7:43:29 PM

               assalam_o_Alikum

     wesey ak baat hay ki hum islam ko sirf apni
     mutlab ki liya use karti hay jaha jo bat achey
     lagey to maan li aur jo hamarey maqsad ki na ho to

    inkar kardeya hum kisey muslim hay kiya baney ga hamara

              ALLAH JANIIIIIIIIIIIIIIIIIIII
        AAP SAB APNA KHAYAL RAKHNA OK allah hafiz

Posted on 3/11/2005 8:03:14 PM

ZEESHANAHMED:
acha, main samjha ab yani Mush jo rozana kehta hai apnay aamal say kehtay tu ham yahi hain aur yeh mat kahiyega kay women are exceptions..

samajh nahi i

Posted on 3/13/2005 4:34:58 PM

thnx uzma
for ur opinion

Posted on 3/13/2005 4:35:23 PM

SALL:
ZEESHANAHMED:
acha, main samjha ab yani Mush jo rozana kehta hai apnay aamal say kehtay tu ham yahi hain aur yeh mat kahiyega kay women are exceptions..

samajh nahi i


lagta hai sahi tarah likhna paray ga , it was:

acha, main samjha ab, yani Mush jo rozana kehta hai (kay moderation say use karo) ,apnay aamal say kehtay tu ham yahi hain (kay hum "moderate" hain) aur yeh mat kahiyega kay women are exceptions (yani poora islam hota hai women ki life main)..

now???


Posted on 3/13/2005 4:48:33 PM

we must b thankful to mushi uncle
he s the only one who said it

warna hum karte to yehi hein par mante nahi
"poora islam hota hai women ki life mei"
iss ka matlab phir samajh nahi aaya

Posted on 3/14/2005 1:38:33 PM

SALL:
we must b thankful to mushi uncle
he s the only one who said it

warna hum karte to yehi hein par mante nahi
"poora islam hota hai women ki life mei"
iss ka matlab phir samajh nahi aaya


haan kehtay nahi hai tu phir yeh haal hai aur aga mush ki baat maan kar kehna bhi shuru kar dain tu phir kia haal ho ga

ufffff aap ko samajh kyun nahiaa rahi, matlab ye kay yeh half and moderete islam sirf men use kartay hai aur women poora use karti hain


Posted on 3/15/2005 3:16:27 AM

areyy yar,, im not taking mushi uncle's side
aik baat ki thi sirf



ohh okkie got it now
nahi,, none of us is using ISLAM as they shd do it
par aik baat to aap ko bhi maani pare gi,, moderate or change mardon ne hi kiya hai islam ko
agar auraton ne kiya hota to apne faide k liye kiya hota
wot do u say ??

Posted on 3/15/2005 3:37:39 AM

jahaan mard kay pass ikhtiyar hota hai us had tak tu theek hai.

Posted on 3/15/2005 3:48:17 AM

have a look at our society
and tell me mard ka ikhteyar kahan nahi hai

Posted on 3/15/2005 3:50:03 AM

at least apnay ooper sabhi ko ikhtiyaar hota hai

Posted on 3/15/2005 3:59:59 AM

acha tu kia sirf is baat par hansnay kay liye yeh topic start kia hai

Posted on 3/15/2005 4:05:02 AM

rone liye aur bhi bohot se reasons hein
hum ne socha hans k dekh lein
kya pata koi fark par jae

Posted on 3/15/2005 4:07:06 AM

SALL:
rone liye aur bhi bohot se reasons hein
hum ne socha hans k dekh lein
kya pata koi fark par jae


rone ki reasons??

i think ye bhi hansnay ki bajaey ronay kay liye achi reason hai. aisi batoon par hansnay say tu dil aur bold ho jata hai aisay kamoo kay liye.

Posted on 3/15/2005 4:10:36 AM

if i psoted that topic
matlab im concious of the pb,, and want others to think over it (not for me, but ofor theirselves)

"rone se ishq mei tere bebaak ho gae"
yahana pe hansne se................

Allah miyan k samne to bohot dheet ban liye
thora logon k samne bhi bana jae

Posted on 3/15/2005 4:13:54 AM