Logo

"YEH WASIYAT HAI

Parho OR Parh Kar Sunao (Its True)
Madinah Sharif ke Shaikh Ahmed ne wasiyat nama bheja hai jis main likha hai ke Friday ki raat main Roza-e-Mubarak mein Qur’an Majeed parh raha tha ke mujhe neend aagai. Kya dekhta hoon ke Hazrat Muhammad(S.A.W.W) tashreef laaye aur farmaya ke
Iss haftemein 60,000 aadmi mare jin mein se koi bhi emaandaar na tha.
Buhut bura waqt aagaya hai.
Auratein parda nahin kartein
Shohar(husband) ki khidmat nahin kartein
Or apne maanbaap(parents) ka kehna nahin mantein
Maaldaar garibon ka khayal nahin karte, Hajj nahin karte aur Khairaat nahin dete.
Shaikh Ahmed tum dunya ko samjho ke wo neki Karen
Qayamat nazdeek hai
Aasmaan per aik sitara niklega aur TAUBA ka darwaza band jayega.
Hazrat Muhammad(S.A.W.W) ne farmaya jo shakhs is wasiyat name ko parh kar iski naqal aik jagase doosri jaga puhnchayega, Qayamat ke din unki shafa’at aur unke khandan ko ALLAH Jannat ki raah dikhayega.
Jo koi aisa nahin karega, ALLAH ki rehmat se mehroom rahega. Jo isse chapwa kar taqseem karega Rehmat se malaamaal ho jayega.
Qarzdaar is ko baantega to uska qarz adaa ho jayega.
Muraad waloon ki muraad puri hogi.
Shaikh Ahmed ne kaha agar ye wasiyat nama jhota hai to meri maut kafroon ke sath ho.
Hamen chahiye ke Naki Kareem (S.A.W.W) per Durood-o-Salaam bhejen.
Roza Namaaz ke paband rahen aur garibon ka khayal rakhte hue Naik raste per chalen, jo aadmo 100 parche chapwa kar taqseem karega usko 4 din mein khushi haasil hogi.
Mumbai mein aik aadmi ne 50 parche chapwa kar taqseem kiya to usse 20,000 ka faida hua.
Aik shaks ne jhota samjha to uska beta mar gaya.
Jo is ko rakh kar taqseem nahin karega wo dukh zaroor dekhega.
Jo insaan ziada taqseem kaega usse ziada faida hoga.
Aik shakhs ne is khat ko jhota samjha wo ussi raat mar gay.
Aik bhai ne is khat ko yaqeen maan kar 50 parche taqseem kiya to usse 50,000 ka faida hua.
Aik bhai ne soocha aaj kal ya parson likhonga, waqt taal diya to uska intaqaal ho gaya.
Lihaza jald se jald apne sar se baar utaar den

Posted on 4/23/2005 12:54:00 AM



yeh parche last 50 yrs (or more) se takseem ho rahe hein
have u seen any improvement ??

Posted on 4/23/2005 2:25:01 PM

mujhay abhi tak aisa 1 bhi percha nahi mila

Posted on 4/23/2005 11:16:00 PM


Posted on 4/28/2005 11:32:43 PM

mujeh bih is tarha ka 1 parcha mila tah,per school time main

Posted on 4/29/2005 8:03:25 AM

works man

Posted on 4/29/2005 3:30:01 PM

Exquisite:
mujhay abhi tak aisa 1 bhi percha nahi mila


hmmm phir to massla hogya na. ab to aap ko yeh taqseem karne honge. shuroo hojaye janab. jabb iss tarah ke 5 parche aap ko mill jayen ge to aap ko khud hi aqal aajaye gi. shabash, mehanti bachi/bacha.

Posted on 4/29/2005 8:07:32 PM

mujhay nahi chaiye aqal lotay sahab apkai pas hai na bohat hai

Posted on 4/30/2005 12:11:12 AM

Exquisite:
mujhay nahi chaiye aqal lotay sahab, mujhe to pata hi nahi ke aqal ke saath mera kya talluq hoga aur waisay bhi aqal se barri hun main.


acha ji bibi ji. as u wish. main ab bhala kya keh sakta hun.

Posted on 4/30/2005 11:42:41 PM


Posted on 5/1/2005 2:02:22 AM

u guys blv in all dat???...

Posted on 5/1/2005 7:18:29 AM

pata chal jaye ga

Posted on 5/10/2005 12:12:53 AM