suna hai tum buhat masroof ho
masroof bhi itnay ke fursat tum se milnay ko tarasti hai
suno!!
masroofiyat ke daairay ko paat kar
fursat se milnay ka kabhi moqa mile tau
sab se pehle khud se milna...
phir faragat ka koi lamha bache tau
gham ke num-aalood raston par kahin se dhoop la rakhna
bhataki shaam se purwa ke dheemay geet sun-na
aah'ton ki titliyon ke rang chun'na
baadlon ki dhund main chuptay huay manzar se tasweerain banana
phir bhi fursat ki poonji bach rahay tau
aaina-ru-sa'aton ke aks aankhon main sajana
waqt ke sahil pe geeli rait se ek ghar bnana
haath ki mehrab se dil ke diye ki tharthrati lao ko bujhnay na dena
pairron ke daman se lipti chaaon main mehki hui baatain chupana
aur parindon ki chehak se nazm ke misray bnana
ya, paron ki oat se chinti hui kirnon se yaadon ki dhanak bharna
gar nahi tau...
kaasni phoolon ki soorat man ke soonae-pan main khilna