ye kya k sab se bayaan Dil ki halatain karni
Faraz tujh ko na aaien Mohabbatain karnien
Ye qurb kya hey k tu samnay hey aor humain
shumaar abhi se judai ki sa'atain karni
sab apnay apnay qareenay se muntazir us k
kisi ko shukar kisi ko shikayatain karni
hum apnay dil se hain majboor aor logon ko
zara c baat pe barpa qayamatain karni
milain jab un se to mub-him c guftagu karna
phir aapnay aap se so so wazahatain karni
ye log kese magar dushmani nabahtay hain
Humain to raas na aaien Mohabbataien karni
Kabhi faraz naye mosmon main ro dena
kabhi talash purani rafaqatain karni
Ahmad Faraz