Logo

.. DEVDAS ..

areyy yar hai to movie but let s have a serious discussion abt it

what do you think this movie is based on ?
main line,,, main concept kya hai

mujhe yeh 100% "love story" kabhi lagi hi nahi
just want to know aur kaun tasveeron se agay dekh paya

Posted on 7/9/2005 3:19:04 PM

Right ,hamain bi yah SIRF love story nahin lagi thi

koi aik concept to tha nahin Chall,,

like * Unchi, nichi zaat

Paro and Devdas kay khandan

* Qurbani and samjhota

* Achay nazar anay walon kay andar ki burai , and burai main RAH kar bi ACHA hona,,,
like Paro's step daughter's husband
and Chandarmukhi


* About LIFE and death
* and Dev ka is tarha mar jana hmmmm yani SARI LIFE kisi aisi cheez kay pichay bhag kar ZAYA kar di,
bina kisi maksad and HASIL kay,,
and MILNA to kiya us ka hawala bi na bacha to hmmm
maybe yahi kay
ham zindagi main kabhi APNI chuni hoi manzil kay liyay baki jo kuch hota hay
hamaray BAS main and
pas us ko to khotay hi hain

but HASIL kuch bi nahin kar patay

ab ham to khud hachi a rahi hay apna likha hoa parh tal lolzzz

BUT.....

Better to habe a opinion then NOTHING



Posted on 7/9/2005 8:55:03 PM

balichhh

as i already told ya me ne book nahi book k baare mei parha hai,, ya phir 2 movies dekhi hein

"unchi zaat, khandan"
this is the 2nd important thing i noticed in this story,, ARROGANCE,, devdas k baap ka guroor, then maa ka,, paroo ka guroor (of her beauty n her love), devdas ka guroor (aik lamhe mei sirf apne baare mei sochte hue faisla kar liya) paro ki maa ka guroor (devdas ki fam ko neecha dikhane liye paro ki shadi)
reason chahe kuch bhi ho,, par sab impulsive caracter k log hein

Qurbani, Samjhota,,, hmm no comments abt it,, coz mujhe Qurbani ka matlab hakeekat mei nahi samajh aaya aaj tak,, aur samjhote pe mera yakeen nahi hai



abt life n death,,, yeh
devdas khali haath mara but how can we say k uss ne aisi zindagi guzar k galti ki ??
khali haath to woh bhi marte hein jinn k paas zindagi mei sab kuch hota hai,,,

sab se zyada mujhe jss baat ne touch kiya woh hai "guilty feeling" of devdas
apni aik galti ko woh saari zindagi nahi maaf paya,, i dont think if he died because of paro's love,, uss ne apni zindagi kharab ki apne aap ko saza dene k liye,, aik lamhe ki galti ko akhri saans tak bhugta,, and paro suffered with him

only person who was beyond all arrogance, selfishness, blames or guiltiness was chandrmukhi,, jab k yehi sab batein uss mei honi chaiye thi coz she was a prost


ab me apni post nahi parhti wara phil mujhe bhi hanchi aae gi

Posted on 7/10/2005 2:24:47 PM

yup arrogance , ich baray main ham nay socha nahin tha AB

kafi time ho gaya hay na book parhay and movie daikhay to...

yup right, devdas ka khud ko itni saza daina...

aisa bi ham nay pahlay nahin socha tha Chall,
( sachi, sab tasweer ka aik rukh hi daikh patay hain, sabi nahin,
ab jo aap ko nazar aya wo ham ko nahin, to apnay khayat ko SHARE karnay say ham
itna kuch jan jatay hain )

Yup Chandarmukhi,,,
and yah bi to hoa kay, movie main " PAYA" bi to sirf us nay hi na, baki sab nay to "kho diya"


waichay really nice story

yup nahin parhna

( right now ham to pain hay sir main to, abhi kiya likha thud bi nahin pata theet chay lolz )





Posted on 7/12/2005 12:35:23 AM

mere sir mei bhi parsu se dard hai
baad mei batate hein

Posted on 7/12/2005 9:49:59 AM

basically yeh movie ... insaan kee sirf eik feelings ko portray kartee hai woh hai CARE

i dont found love story in it


" CARE " n "LOVE" mein kafi difference hia aur love k liye insaan bohat kuch sacrifice kar sakta hai


but care jis kee jateee hai us k liye insaan sab kuch nahi chorta

haan srk ko keh saktey hain k LOVE tha but ager tha tu woh us k liye kiyoon kuch na kar gaya ??


abb see all the legendary love stories , un mein piyaar sey ziada sacrifice miltee hia

coz LOVE tu naam heee kurbani ka hai

Posted on 7/24/2005 8:22:59 PM