A ishq na cherr aa aa k humain, Hum bhoolay huon ko yaad na kar
pehle hi bohat naa-shaad hain Hum, tu aor humain naa-shaad na kar
qismat ka sitam hi kum nahi kuch,ye taaza sitam eijaad na kar.
yun zulm na kar, bay-daad na kar
A ishq humain barbaad na kar
Raaton ko uth uth kar rotay hain, ro ro k duaaien kartay hain
aankhon main tasavvur, Dil main Khalish, Sir dhuntay hain Aahain bhartay hain
A ishq ye kesa rog laga, jeetay hain na zalim, martay hain
In khwabon se yun aazad na kar
A ishq humain barbaad na kar
jis din se bandha hey dheyaan tera, ghabraaye huye se rehtay hain
her waqt tasavvur kar kar k sharmaye huye se rehtay hain
kumlaaye huye phoolon ki tarah kumlaaye huye se rehtay hain
Pamaal na kar, Bay-daad na kar