Logo

Currency waqt k saath........

Namak

Kya aap jantay hain k “namak haram” “namak halal” ya phir “namak khana” jaisay mohawaron k peechhay kya haqeeqat hai?


Qadeem Yunaan aur Miser k tajir pehlay zamanay main tijarat ziada ter Namak k zariye kya kerta thay . Jab who Ghulamon ki khareed o farokht kya kertay to badlay main namak mangtay. Lihaza ghulamon ka lain dain namak k badlay main hota issi liye to kaha jaat ahain k main nay aap ka namak khaya ya namak halal kerna waghaira.
Word "Salary" bhi Salt hi say bana hai.





KODIYAN

Urdu zuban main akser aik jumla ya mohawara bola jata hai k “do kodi ka nahin”.kabhi aap nay ghour kya hai k derhaqeeqat KODI kya cheez hai?
Der asal yeh white ya yello colour ki porsileen numa 1cm-3cm ki SEEPI hoti hai. Kodiyun kay istamal ka aghaz qadeem Cheen say hua jahan kodiyan raqam k tor per istamal hoti theen. Ibtadaye Cheeni zuban main paisay ko KODI hi ki shakal di jati thee.India say wapsi per Tajir yeh Seepiyan apnay saath apnay mulak lay aaye jo baad main west afreeqa tak pohanch gaye. Afreeqa k baaz areas main yeh seepiyan 20th century k mid tak istamal hoti rahi.



2 b continued…….



Posted on 8/10/2005 12:41:35 PM

nice info

Posted on 8/10/2005 12:51:39 PM

thnx fargi

Posted on 8/10/2005 1:38:52 PM


"TAKAY TAKAY KAY LOG....YA 2 TAKAY KI AUQAAT...."


iss ka matlab bhi batayeey..



Posted on 8/10/2005 10:15:53 PM

COINS YA SIKKAY

Asia e Kochak ki aik qoum “Lidains” , Sikkay ya Coin ki Moajad (inventer) hai. Yeh sikkay, “Electrum” , jo sonay aur chandi ka aik natural mixture hai, say banay hotay thay. In sikkon ka riwaj taqreeban 500-640 BC main tha. “LIDIYA” kay badsha “ KROSIS “ jo kah 546-560 BC main hakoomat kerta tha, nay sonay kay sikkon ko mutarif kerwaya. “KROSIS JAISA RAEES” aik qadeem kahawat hai jo is hukmaran say munsalik hai.

Posted on 8/11/2005 12:25:52 PM

new_beau:

"TAKAY TAKAY KAY LOG....YA 2 TAKAY KI AUQAAT...."


iss ka matlab bhi batayeey..




jab mujhay pata chalay ga bata doon gi

Posted on 8/11/2005 12:29:10 PM

queennnnnu


i knew abt namak and kodi
but its still vv interesting
waise kya na,,, sirf namak khao,, aur phir usse halal bhi karo
haddd hai yarr

Posted on 8/11/2005 1:38:56 PM

thanks dear sall n pari


abhii aagay aagay dakhiye hota hai kya


oh chhhoro aaj kal waisay bhi namak kam khana chahiye Blood pressure barh jata hai werna
aur ager koi halal kernay ko kahay to keh do aap k milawat shuda namak nay hamain beemaar kya hai so aap herjana bharain
kaisa

Posted on 8/11/2005 4:05:58 PM


Posted on 8/11/2005 4:49:35 PM

thanx TT n Shah

Posted on 8/11/2005 5:04:55 PM

KAGHZI NOTE KI AAMAD

Amlee tor per KAGHZI NOTE ka aghaz “Cheen” main 1000 saal pehlay hua lakin yeh note qabil e qabool nahin samjhay gaye. Saal 1294 main aik baar phir “Persia” main in ka istamaal shuroo hua. Iss marteba bhi yeh moaashi tabahi ka bais banay.
17veen sadi kay aakhir main “Sweedan” kay aik banker “Yuhan palm stroke” nay KAGHZI NOTE aik baar phir mutaarif kerwaye. Akhir kaar kaghzi noton nay roz marrah zindagi main apna muqaam bana liya.
Mojooda zamanay main Currency nay aik naye shakel ikhtiyaar ker li hai……

Posted on 8/12/2005 11:29:31 AM

And that is PLASTIC MONEY

Posted on 8/12/2005 8:12:51 PM

plastic money kya matlab?

Posted on 8/13/2005 4:16:24 PM

nice topis queen thx 4 sharing

Posted on 8/13/2005 8:06:30 PM

new_beau:
And that is PLASTIC MONEY


Credit Cards

Posted on 8/13/2005 9:12:44 PM

oh achha achha
thnx dear wafa

Posted on 8/15/2005 4:13:45 PM

Mazeed Information ????

Posted on 8/16/2005 11:26:55 PM

bas jang papermain itni hi chhapee thi

Posted on 8/17/2005 2:26:20 PM

Chalo Phir Close kero

Posted on 8/17/2005 9:06:33 PM