Logo

Phoolon se achi uski khushboo

Phoolon se achi uski khushboo
Kaliyon se pyaari muskaan

Sitaaron sa chamakta hua chehra
Koyal se meethi zabaan

Chand bi chup jaye yeh keh ke asmaan se
Ab kiya mera kaam

Chandni to aa nikli zameen se
Kessi hai yeh qudrat ki shaan

Fursat se banaya hoga Rab ne
Farishton ka nahin yeh kaam

Mitti se banay hain humsab
Us mein sone ko milaya hoga

Hooron ne bi hasrat se dekha hoga
Pariyon se sunder yeh insaan

Alfaaz bi kam partay hain tarfee kerne mein
essi meri wo jaan-e-bahaar hai!!

Posted on 8/30/2005 3:09:54 PM

nice

Posted on 8/30/2005 5:45:11 PM

gud work jutt jeee

Posted on 8/31/2005 1:48:00 AM

v nicee

Posted on 8/31/2005 3:58:20 AM

thanks every1.............

Posted on 8/31/2005 11:44:20 AM

welcome jee welcome

Posted on 9/2/2005 12:18:24 AM

hello ji aap ki us mein koi insani quality bhi hai

Posted on 9/5/2005 6:27:49 PM

per woh hay kon ??

Posted on 9/5/2005 10:09:32 PM