Logo

~~~ Umr Guzri Sanwaartay DiL ko ~~~

jis ki qismat hi dard badar thehray
wo bujha chand kis k ghar thehray

Umar guzri sanwartay dil ko
kash wo dil main lamha bhar thehray


hum se shub-khooN ki daastan poocho
shehr walay to bay-khabar thehray

us se kya poochna safar ki thakan
jis ki manzil hi rahguzar thehray

us ki qismat azaab sooraj ka
wo sitara jo ta sehar thehray

us ki aankhain udhar gayi hi nahi
log kya kya na Mord par thehray

hum se kesa hazar hawaye-safar
hum to gard-e-rah-e-safar thehray

jhuk k choomay na kion falak mohsin
jab sinaaN per kisi ka sar thehray

Posted on 10/20/2005 6:24:48 AM

by Mohsin Naqvi...


Posted on 10/20/2005 6:25:15 AM

very nice....i though it was by you.....please send something written by you.

Posted on 10/20/2005 4:57:20 PM


Posted on 10/20/2005 7:33:01 PM

MashAllah....as usual gud jee...

Posted on 10/20/2005 10:46:53 PM

Thank U,

hum se kesa hazar hawaye-safar
hum to gard-e-rah-e-safar thehray


Posted on 10/21/2005 10:47:18 AM

woh kiyunm jee.,...Dont Understimate your self

Posted on 10/21/2005 8:48:53 PM

Main wo charaagh-e-sar-e-raah-guzaar-e-Duniya hun
jo apni zaat ki tanhaiyon main jal jaye..


Posted on 10/22/2005 7:05:55 PM

"Dil Jalay ga tou Mehfil mainn Ujaala hoga"
"Werna Subha ka Rang Raatonn say bhi Kaala hoga"

Posted on 10/23/2005 12:39:06 AM

aankhon main jal rahay hain dar-o-baam k charagh
jab dil hi bujh gya ho to kis kaam k charagh..


Posted on 11/2/2005 2:59:32 AM