ab k baras ki hawaaon se kehna
main ne aanchal main apni Mohabbat k gulaab
phela diye hain...
ab k baras ki barsihon se kehna
k main ne apni kachhi jhonprdi ki chhat pr
sookhay patton ko saayebaan bicha diya hey
ab k baras ki bahaaron se kehna
k ab wo guzrain to mere chotay se ghar se
khazaan k saray mosmon ko samait kar le jaien
kion k ab mera daaman
khushiyon se choor hey....
chalo phir nafraton ki aag ko ikhlaas k chashmon se dho daalain
jinhon ne dil-ba-dil Lamha-ba-lamha
bud-gumaani kasht ki hey
in wafa na-ashna sochon ko
zehnon se khurach kar
deeda-o-na-deeda zakhmon ko dafn ker k
lagaien,aao sab mil jul kar kuch zaitoon ki shaakhain
k jin k shabnami saaye main khwabon ka basera ho
jahan hudd-e-takhaiyyal tak sawera hi sawera ho
chalo phir reshmi khwabon, Mohabbat-khaiz jazbon
aos qatron ki tarah shaffaf tar sochon
ko baaham aik kar k amn ki tafseer ban jaien
chalo,phir mil k hum sab aanay walay dour ki taqdeer ban jaien
chalo,phir aanay wali rut ka istaqbaal kartay hain
Mohabbat hi Mohabbat kasht ab k saal kartay hain
suno logo,
k ab k saal hum sab ko sitaaron ki zaroorat hey
baharon ki zaroorat hey
zara socho.
to aapas k sahaaron ki zaroorat hey
chalo phir aanay wali rut ka istaqbal kartay hain
Mohabbat hi Mohabbat kasht ab k saal kartay hain....