Logo

Naye saal ki pehli ghazal,by Mohsin Naqvi


kya khazanay meri jaan hijr ki shab yaad aaye
tera chehra,teri aankhain tere lab yaad aaye

aik tu tha jisay ghurbat main pukara dil ne
warna bichrday huye ehbaab to sab yaad aaye

hum ne maazi ki sakhaawat pe jo pal bhar socha..!
dukh bhi kya kya humain yaaron k sabab yaad aaye

phool khilnay ka jo mosam mere dil main utra
tere bakhshay huye kuch zakham ajab yaad aaye

ab to aankhon main faqat dhool hey kuch yaadon ki
hum usay yaad bhi aaye hain to kab yaad aaye

bhool janay main wo zalim hey bhala ka maher
yaad aanay pe bhi aaye to ghazab yaad aaye

ye khunak rut, ye naye saal ka pehla lamha
dil ki khwahish hey k Mohsin koi ab yaad aaye

1 jan 1996
By Mohsin Naqvi
From book KHEEMA-E-JAAN



Posted on 12/31/2005 2:10:05 PM

hum ne maazi ki sakhaawat pe jo pal bhar socha..!
dukh bhi kya kya humain yaaron k sabab yaad aaye

Posted on 12/31/2005 7:37:53 PM