Logo

Word of this WEEK (hijer)

chalo aik new topic in poetry
ye wkly topic hai.
her wk aik new word select ho ga choice aap main say koi bhi mujhay bata sakta hai.

ok is haftay ka lafz hai

Aieena(mirror)

aap yahan aisay shair post kerain jin main word AIEENA istamaal hua ho
simple na

Posted on 5/8/2006 1:54:26 PM

hmmmm..
AAINE mei woh apni adaa dekh rahe hein
marr jaae k jee jaae koi unn ki bala se

Posted on 5/8/2006 2:03:10 PM

wah jee wah

aik aur

Posted on 5/8/2006 2:05:33 PM

aik aur kahan se lau,,,,,,,,,,,
aik aiina sambhalna hi mushkil ho raha hai

Posted on 5/8/2006 2:16:07 PM

Aaeena dekh kay bolay yeh Sanwarnay waalay
"Ab tou bay Maut merainn gay, Meray Mernay waalay"

Posted on 5/9/2006 1:15:31 AM

mirror is the biggest enemy n friend of urs
~Desi MC~

Posted on 5/9/2006 2:01:04 AM

aap ka dushman ho ga..Such jo bata deta hay

Posted on 5/9/2006 9:15:09 AM

bhai log yahan poetry likhni hai
aik doosaray kay poll nahin kholnay





Posted on 5/9/2006 6:17:50 PM

"Husn kay Raaz sabhi Kholay ga
Aaeena Jhoot nahin Bolay ga"

Posted on 5/10/2006 9:33:30 AM

aaina daikhiyay ya pani daikhiyay
bahatay huway dariya ki rawani daikhiyay

aaks daikhiyay bar-aaks daikhiyay
dobti huwi kishti ka raqs daikhiyay

Posted on 5/10/2006 8:04:16 PM

soorat e ainaa to main bhi hoon
ro o shab toot'ta to main bhi hoon

Posted on 5/10/2006 8:06:38 PM

ab to is terha meri aankhon main khaab aatay hain
jis terha aaieenay chehron ko taras jatay hain

Posted on 5/16/2006 8:12:27 PM

jab husn tha to aaine nahi the
ab aaina hai par husn kahan




adaab arz hai
iss k saath aik naya lafz tajweez kiya jae malika e aliya

Posted on 5/21/2006 12:11:23 PM

Husn kay raaz sabhi kholay ga
Aaeena Jhoot nahin bolay ga

Posted on 6/3/2006 12:48:02 AM

chalo ab new word



hijer

Posted on 6/3/2006 4:07:31 PM

Teray Hijer mainn Aay Sanam
Na Safar kay Rahay, Na Watan kay Rahay

Huwe Raiza Raiza Kuchh Iss tarah
Na kafan kay Rahay, Na Dafan Kay Rahay

Posted on 6/3/2006 6:54:20 PM

kyun HIJR k shikwe karta hai, kyun dard ka rona rota hai
ab ishq kiya hai to sabr bhi kar, iss mei to yehi kuch hota hai


adaab arz hai

Posted on 6/3/2006 10:10:14 PM


Hijar mein khun rulatye ho kahaan hotye ho ?
loot kar kyun nehi atye kahaan hotye ho ?

jab bhi milta hae kio shakhass baharoon jeysa
mujh ko tum kesye bhulatye ho kahaan hotye ho ?

Posted on 6/6/2006 4:59:55 PM

yeh jo HIJR mei deewar o darr ko dekhte hein
kabhi sabaa ko kabhi naamabar ko dekhte hein

Posted on 6/7/2006 12:14:16 AM

hijer ki bad dua na ho jana
daikh laina, saza na ho jana
mor to bay shumaar aaien gay
thak na jana, juda na ho jana

Posted on 6/7/2006 12:23:36 PM

"Gham-e-Hijr say Kabhi na dil hamkinaar kerna"
"Mainn phir aaoon ga palat ker, Mera Intezaar kerna"

Posted on 6/8/2006 8:25:12 PM

vasl ki shab thi to kiss darja subak guzri hai
HIJR ki shab hai to kya sakht garaan guzri hai

Posted on 6/10/2006 12:14:46 PM

"Hijr ki Raat jitni Taweel hoti hay"
"Saa'at-e-Wasl Utni Qaleel hoti hay"

Posted on 6/10/2006 1:13:44 PM

Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Rahein Gi Nam Aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga
Pani Mein Safeena Sulgey Ga
Rafta Rafta .........
Dheerey Dheerey .......
Phir Haalat Hij'r Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakh'm Bharey ka Chahat ka
Ik Dard Thamey Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka

Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho
Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho !

Posted on 6/13/2006 7:36:06 PM

hawa e hijer chali dil ki rahguzaron main
sharar jaltay hain palkon ki shaakhsaaron main

Posted on 6/13/2006 7:39:16 PM