Logo

sachchii baat kahii thii mai.n ne

sachchii baat kahii thii mai.n ne
sachchii baat kahii thii mai.n ne

logo.n ne suulii pe cha.Dhaayaa
mujhako zahar kaa jaam pilaayaa
phir bhii un ko chain na aayaa

sachchii baat kahii thii mai.n ne
leke jahaa.N bhii vaqt gayaa hai
zulm milaa hai zulm sahaa hai
sach kaa ye inaam milaa hai

sachchii baat kahii thii mai.n ne
sab se bahatar kabhii na bananaa
jag ke rahabar kabhii na bananaa
piir-payambar kabhii na bananaa

sachchii baat kahii thii mai.n ne
chup rahakar hii vaqt guzaaro
sach kahane pe jaan mat vaaro
kuchh to siikho mujhase yaaro


sachchii baat kahii thii mai.n ne

Posted on 6/6/2006 7:04:11 PM

kion kahi thi jee...

Posted on 6/6/2006 9:50:32 PM

ab keh diya to keh diya
darna kahe ko reyy
ab to piyaaa jo ho so ho

Posted on 6/7/2006 12:03:52 AM

dil chah raha tha

Posted on 6/7/2006 12:20:28 PM

such...

Posted on 6/8/2006 8:27:44 PM

kiun kahi thi..pata hai na ke sach kerwa hota hai... kuch log seh nahin patey usey sun ker

Posted on 6/9/2006 3:07:22 AM

ab kya ho sakta hai

Posted on 6/9/2006 3:38:16 PM

jo hona tha ho gaya...
let's move on

Posted on 6/10/2006 5:37:35 AM

Tum nay waqayee such kaha hay...ab goli bhi tum ko hi peray gi

Posted on 6/10/2006 9:09:51 AM

maar do is ko

Posted on 6/13/2006 8:03:33 PM

very nice...........thanks for sharing.

Posted on 6/15/2006 4:50:42 AM