lakin khaab daikhnay kay liye paisay nahin lagtay oon ki tabeer panay kay liye paisa chahiye
raja aur rani ki aik beti bhi thi
shehzadi naam tha os ka......
wahan hangama ho raha th
jaisay hi oos nay apna tokra neechay rakha aik aadmi jis nay kali chader orh rakhi thi taizi say bhagta hua oos kay paas say guzra aur bhagtay huey raja kay tokray main kuchh phaink gaya.....
raja bohat ghabra gaya kyun kay oos aadami kay peechhay mandi main mojood bohat log bhaag rahay tha
oon main aik shakhs aisa bhi tha jis nay kaafi qeemti suit pehan rakha tha aur dikhnay main bohat ameer lag raha tha....wo shakhs sab say aagy tha
raja nay ghabra ker apna tokra uthaya aur gher ki taraf bhaga
itnay main subha ki roshni namoodaar ho gaye
raja nay gher pohanch ker sakoon ka saans liya
rani heran thi poochhnay lagi abhi to gaye thay wapis kyun aagya.........
to aik siyah rang ka chhota sa baig tokray say neechay gir para
rani nay oos ko uthaya aur ulat palat ker daikha aur kholnay ki koshish ki
lakin na khula
wo oos bag ko raja kay pass lay gaye........
raja bohat heran hua ye bag daikh ker
rani nay poochha ye kaha say aaya
raja soch main per gay
achanak oos ko khayal aaya chor nay bhagtay huey kuchh phanka tha
shayed ye wohi bag tha jo chor oos kay tokray main phaink gaya,,,,,,,,