Logo

AAP KI ADALAT MAIN

aaj jang N paper main aik khaber thi
aik shakhs "ashraf: nat apni 3 betiyun
9 saal ki IQRA, 5 saal ki SAMRA, ponay 3 saal ki ESHA ko zibah ker diya




oos kay mohallay daar aur rishta daar kehtay hain kay oos ka dimaghi tawazan kharab hai
dr kehtay hain psycho hai

jab oos ko thanay la ker tafteesh kernay kay baad aik POLICE CONSTABLE "NADEEM" ko kaha gay kay is ko hawalaat main band ker do
oos constable nay bahir bikaal ker sarkari rewlover say 8 goliyan maar di ASHRAf yani qatil ko



oos constable ko arrest ker liya gaya hai
awam ka kehna hai kay oos nay sahi kiya
qanoon kehta hai ye police raaj ki nishani hai
oos kay saathi kehtay hain kay ye jazbatiat hai
adalat kehti hai ye insaaf ki touhine hai
oos ko koi haq nahin kay wo ye kaam kerta

CONSTABE NADEEM rota hai aur kehta hai main khud aik beti ka baap hoon
mujh say khoon main lat pat masoom bachiya berdasht nahin hui
adalat shayed oos ko pagal samjh kay chhor daiti
mujhay apnay is kaam per koi afsos nahin
oos ka insaaf main nay moqa per hi ker diya




ab oos per QATAL E AMAD ka case file hua hai

aap kay dil ki adalat kya kehti hai
aap kay dimagh ka judge kya faisla sunata hai
NADEEM NAY THEEK KIYA





*main nay khud hi ye topic S corner main post nahin kiya
reason ye hai kay wahan kam log jatay hain
aur main ye sab ko dikhana chahti hoon
aur aap itnay samjhdaar to hain hi kay topic jo hai oos ko waisa hi rehnay dain gay
thx

Posted on 6/21/2006 6:50:58 PM

kya nadeem nay apni dhaee sala beti aur aik saala betay ka nahin socha ho ga is act per
kay ager oos ko phansi ho gaye to oon ka kya ho ga?

Posted on 6/21/2006 7:03:40 PM

abhi to faisla honay main bohat waqt lagay ga

Posted on 6/21/2006 7:11:55 PM

Allah miyan sab ko seedha rasta dikha'ain
pata nahi kya ho gaya hai logon ko


jsut a request
can u plz del that first pic,, plz





well,,
agar me hoti to yehi karti k uss shaks ko maar dalti, ya kam se kam mera dil yehi hota k usse marr jana chaiye
BUT
me police mei nahi hu,,
when u r on such duty tumhare apne emotions apni soch control mei honi chaiye,,
constable nadeem ne jo kiya as a human, as a father shayad sahi tha,, par as a police man he doesnt have this right
agar sab police waale apne dil se faisle sunane lage to phir adalat ki kya zaroorat hai ??

i know its easier to say,, i can imagine uss ki halat aisi situation mie kya hogi tabhi aisa kadam uthaya nadeem ne,, apne futur apni family ka soche bager

i hope adalat/media khamkha ka issue banane ki bajae usse thori saza de gi


now a question
the killer ashraf.. its said woh psycho tha, pagal tha
wait a min
insan bethe bethe aik do din mei iss hadd tak psycho nahi ho jata k apni hi aulad ka khoon kar de
iss shaks ki family, parents, bv, behen bhai, dost, rishtedar, muhalle waale.............
woh sab jo usse ab pshycho keh rahe hein y they didnt do anything before.. aik shaks ka dimagi tawazun iss hadd tak kharab hai k woh kissi ko bhi itna nuksan pohoncha sakta hai and he has 3 kids of 9/5/3 yrs
does it sound correct ???????

i hope u r getting my point

Posted on 6/21/2006 7:25:29 PM

sall main ye topic do chaar din main close ker doon gi
abt pic mujahy bhi achha nahin laga but topic ko clear kernay kay liye post ki hai


abt ashraf
aik saal pehalay oos nay illaj kerwaya tha dimagh ka
ppl said kuchh din say bohat deen ki baatina kerta tha aur paanch waqt ki namaz perh raha tha
wife said
wo betiyun say bohat piyaar kerta tha
oos nay hum ko kabhi koi mushkil ya tangi nahin aanay di
kal raat bhi wo baar baar betiyun ko piyaar ker raha tha
he was a part time "qasab"


sahi hai
as a police main nadeem nay sahi misal qayam nahin ki
ppl said ager police walay is terha faislay kernay lagain to adalat ki kya zaroorat hai
but I think woh jazbatiat ka shikaar hua
aur wo apnay qanoon ki "pohanch" janta tha

Posted on 6/21/2006 7:33:07 PM

main ne bhi subha uthtay hi ye khabar parhi thi and for some moments.. i was shocked...
well... i dont know what to say..
insaan ki zindagi main kuch stages aisi aati hain k us k baray main koi hatmi baat kehna mushkil ho jata hey...
jese.. Ashraf...
i dont think k koi NORMAL insaan ye kaam kar sakta hey.
aor jo log aisa kaam kartay hain..yaqeenan us time wo insanni haisiyat se neechay gir jatay hain lekin un ko khud pata nahi hota...
aor Nadeem....
hum log shayad theek se andaza bhi nahi kar sakain. k us k dil-o-demagh ne kitni shiddat se ye sab mehsoos kiya hoga.. aor us moment jab us ne ashraf ko qatl kiya.. wo kesa lamha hoga.. qanoon main rehtay huye qanoon tordna...
mujhe nahi pata.. k main kya kahoon...
Allah Un bachiyon ki maan ko sabr day... jis ka loss shayad hum feel nahi kar saktay.... Aameen

Posted on 6/21/2006 7:57:38 PM

jab oos nay ashraf ko mara
DIG samait aur bohat police force thi wahan
lakin oos nay achanak aur aik sec main ye kiya
even kay jis kay haath main ashraf ki hathkari thi woh aik dum wahan say bhaag gaya oos ko chhor ker

Posted on 6/21/2006 8:05:48 PM

Qv aisi khabar pahle bhi aaye thi

pata nhi aisa kaise kerte hain

Posted on 6/21/2006 8:07:33 PM

haan hareem
aisa main nay 3 mukhtalif waqiyaat main perha hai
wahan bhi baap nay isi terha masoom bachon ko qatal kiya tha

Posted on 6/21/2006 8:11:25 PM

ha Adalt un k faislay unhoon ne bhi suicide ker li thi

Posted on 6/21/2006 8:15:17 PM

tab aur ab kay case main farq hai srk
baat qanoon kay banday ki hai

Posted on 6/21/2006 8:23:31 PM

hmmmm kehney ko sahi kiya per ghalat bhi kiya

pehlye us ko dekh lena chaye tha ke govt kya decide kerti hai
then ager koi +ve decision na hota then
woh yeh kerta tu i think achi baat thi



cuz bagher waja ke and bagher decision ki kisi ki jaan lena koi aam baat nai

Posted on 6/22/2006 1:29:59 AM

so sad news main nain be read kiya tha but main kuch aur samjha tha...
khair
bohaat bura kiya us nain,,asay logon kay bary main kaha jata haii yay pagal hain but main is baat say agree nahi kerta bohaat si reason hain
khair sir nadeem nain bilkul theek kiya asay logo ka yay hi haal hona cheay
in logo ko asay nahi balky chowk main mar dayna cheay taky next time asa na hoo

QV SIS ager app in littles kids ki pic na lagti to acha hota coz itss really hurt

Posted on 6/22/2006 12:12:04 PM

damnnn
H is right aise wakeye pehle bhi hue hein,, last yr i guess aik bande ne apne bachon ko maar k kaha tha k uss ne NAbi Paak saw k liye kurbani di hai (or something like that)

yeh psychos dunya mei itne barhte kyun ja rahe hein
aisa wakai hota hai k kissi shaks ko uss k jurm ki saza kam mile kyun k doctors k mutabik uss ki dimagi halat sahi nahi thi
kabhi baat sahi bhi lagti hai,, par kabhi dil nahi manta
its really debatable how to react in such situation



nadeem ka masla itna chota nahi jitna pehli nazar mei lagta hai
me khud samajhti hu k usse maafi milni chaiye

but then
uss ko agar maafi mile gi to it will b a new example in our jurisprudence... (well i dont knwo the importance of jurisprudence in pak law) agar aisa hua to iss baat ko koi bhi galt log apne faide k liye istemal karein ge,, kissi ka katal kar k ulte seedhe gawah la k case ko aisi hi shakal de k katil ko churwa liya jae ga

THEN ?????

Posted on 6/22/2006 12:33:29 PM

u r right sis
but ager daikha jay to yay log zayda tar gareeb ya wo log hain jo halaat say tang aay howay hotain hain ya un ko kasii cheez ka ghum hota haii

aik cheez aur main yahan batata chaloon.
hum main say aksir log jadoo ko mantain hain..
asay hi kuch log hain jo kasii say badla layain kay leay asa jadoo kertain hain kay wo pagal ho jata haii and kuch bi ker dayta haii
sis its pak,us ko chor diya jay ga laken koyi bi asay waqiyat ko nahii rukha jay ga.
javad i think jis nain 100 bacho ko mara kiya howa us ka
us nain kaha tha main kud maroon ga and us nain khudkhushi ker li
kis nain help ki
nobody know
is leay sahii kiya and agay bi asa howa to koyi kary ga to wo apna haal soch kar rukhy

Posted on 6/22/2006 12:45:58 PM

aik baat mein kahti hoon jb koi Gov badalne lagay ye kuch garbar ho jayetu aise waqiyat se public ka dheyan bataya jata hai
U r rite HH us 100 bachoo k murdere ne suicide ki mein nhi manti wo bas ghayab ho gya n qisa khatam

Posted on 6/22/2006 12:55:20 PM

agar woh gareeb tha ya koi gham tha to khud ko maarta na

well, i agreee frustration insan ko bohot door tak le jati hai,,, par frustrate hone liye sirf gareeb hona kafi nahi hota,,, sab k sab log issi situation mei hein,,
mujh to sachi baat kisssssi paki pe aitbar hi nahi
(yahan k logon pe bhi nahi hai,, par thora kam)

o yaaaaaaarrrrrrrrrrr.....
jadoooo ka naam nahi lo.. aik to hum log na,, apne marzi chala k kissi ka bera garak kar k keh dete hein hum pe kissi ne kuch karwa diya tha,, ya aur kuch nahi to seedha shetan ka naam laga do,,, apni jaan bacha lo bass


u said "sahi kiya and agay jo aisa kare wph apna haal soch rakhe"
do u think jab uss bande ne apne bachon ko maara to uss ne socha k agay uss k saath kya hoga ???????
do u really think k uss wakt uss k sochne ki salahiyat kaam kar rahi thi ?????????? uss ko police waala na maarta to adalat se saza mil jati,, ya pagal khaane mei hota woh,, par bach to nahi sakta tha

police waale ne jo kiya uss se kya hoga ???
uss bechare ki apni zindagi kharab hui... uss ki apni family aur bachon k saath bura hua,, isss liye kehte hein gussa insan ka dost kabhi nahi hota

hum log to yeh dekh k khush ho rahe hein k uss ne jo kiya sahi kiya,, par bugte ga to woh na,, hum to apne gharon mei araam se rahein ge

Posted on 6/22/2006 1:02:53 PM

bakwas hai sab frustration kisi baam ko itna sakhtdil nhi bana skti k wo apni aulad ko amrr dale

Posted on 6/22/2006 1:08:04 PM

jee sall sis ager app news parhain to app ko sunny ko mily ga kay gareeb baap nain mar dala ya mar gia
yay parso ki news thii father nain kudkhushi ker lii shadi kay paisay na honain ki waja say..
pakistani per kasii ko itbar nahi coz yay itbar kabi bana hi nai sukty bana layain to tornain main dair nai kerty laken sirf paki nai all over the world yay hi haal haii.
lolzz asi leay phaly likha tha jo itbar kertain hain.
jub APP (PBUH) PER HOWA TO HUM KIYA CHEEZ HAIN).

Baki kaal sorry

Posted on 6/22/2006 8:52:54 PM

its really shocking , This sad event occured near my father factory.

I think that constable has done right.But what would happen to his own family. lets hope that Ashraf family forgive Nadeem for his action

Posted on 6/22/2006 9:28:03 PM


Posted on 6/22/2006 9:30:59 PM

queeny hamara dil jo bhee faisla karay .. laiken in the end hona tu wohi hai jo adalaat faisla karay ..

Posted on 6/22/2006 9:35:30 PM

shahrukh khan:
cutefriend:
hmmmm kehney ko sahi kiya per ghalat bhi kiya

pehlye us ko dekh lena chaye tha ke govt kya decide kerti hai
then ager koi +ve decision na hota then
woh yeh kerta tu i think achi baat thi



cuz bagher waja ke and bagher decision ki kisi ki jaan lena koi aam baat nai


MAYBE HE WAS RIGHT...woh ussey choor jetay


tab yeh khud koi action le sakt tu legal ho jata

Posted on 6/23/2006 12:14:01 AM

aap sab kay replies ka thanx

kaha ja raha hai kay ashraf ki family means bhai police ko blame ker rahay hain kay thanay main hamaray bhai ko sab nay mil ker mara hai
khair ye bhi kahtay hain log kay ager is terha insaaf ka ye tareeqa ikhtiar honay lagay to log thanay adalat say hat ker khud hi insaaf kernay lagain gay
aur ye kay sab mantay hain kay nadeem nay jazbati ho kay ye kiya
lakin saath hi ye bhi kay woh jis line main hai
wahan akser aisay waqiyat ka samna hota hai so oos ko apnay emotions per control rakhna chahiye tha(i agrre with this)
bcz ager aik police man hi situations kay lihaz say khud ko control na ker sakay to mamlon ko control kaisay keray ga
ye aisay hi hai kay ager aik dr kisi mareez ka operation kertay waqt ye sochay kay mareez ko oos say takleef ho gi aur wo oos ki hamdardi main oos ka operation hi na keray
means kuch jaghon per emotions bhoolna pertay hain
ashraf ko maarna ghalat is liye bhi kaha ja raha hai kay
is terha oos nay bohat kam saza payye
ager oos per case chalta(jo aik lamba arsa laita)
woh giriftaar rehta umer qaid kat'ta aur phir phansi lagta to ye taweel arsa jismani saza kay saath oos ka zameer oos ko jo saza daita
wo pal pal marta to insaaf hota

Posted on 6/23/2006 12:23:02 PM

no thx ...cuz esye issues per baat kerna and view dena achi bat hai n e ways welcome

and
jee yehi baat main ne ki thi ke pehlye govt ka decision dekhna chaye tha woh kiya tha
phir koi khud kam kerna chaye tha
per kher nadeem ne jazbati ho ker yeh kam kiya
but yehi time hota hia i think ke insan apnye hos-o-hawas main reh ke decision laye
jo bhi hua acha bhi hua ke criminal ko at the spot saza mil gaye and bura bhi hua ke police wala bhi killer ban gaya

han yeh hai ke jo case start hotahia woh bahut der tak chalta hia
but yeh bhi hia ke us ko der tak chalanye main bhi hamara hi hath hota hia ham hi apnye lawyers ko kehtye hain ke case lamba ker do jitna ho sakta hia takye jo victim hai woh khud hi court ke chaker laga laga ke thak jaye ga aur sulah ker laye ga

aur yeh bhi hai ke har kam tu 100% sahi nahi ho sakta

Posted on 6/23/2006 7:24:24 PM

My Opinion:

Nadeem's Action is Wrong
No Body has a right to do FAISLA ON THE SPOT.

Jazbatiyat ko Control kernay kay liyey hi Qanoon banaye jaatay hainn.

I respect his feelings. But I dont allow him to do this.



Posted on 6/23/2006 7:35:51 PM

QUEEN VICTORIA:
aaj jang N paper main aik khaber thi
aik shakhs "ashraf: nat apni 3 betiyun
9 saal ki IQRA, 5 saal ki SAMRA, ponay 3 saal ki ESHA ko zibah ker diya




oos kay mohallay daar aur rishta daar kehtay hain kay oos ka dimaghi tawazan kharab hai
dr kehtay hain psycho hai

jab oos ko thanay la ker tafteesh kernay kay baad aik POLICE CONSTABLE "NADEEM" ko kaha gay kay is ko hawalaat main band ker do
oos constable nay bahir bikaal ker sarkari rewlover say 8 goliyan maar di ASHRAf yani qatil ko



oos constable ko arrest ker liya gaya hai
awam ka kehna hai kay oos nay sahi kiya
qanoon kehta hai ye police raaj ki nishani hai
oos kay saathi kehtay hain kay ye jazbatiat hai
adalat kehti hai ye insaaf ki touhine hai
oos ko koi haq nahin kay wo ye kaam kerta

CONSTABE NADEEM rota hai aur kehta hai main khud aik beti ka baap hoon
mujh say khoon main lat pat masoom bachiya berdasht nahin hui
adalat shayed oos ko pagal samjh kay chhor daiti
mujhay apnay is kaam per koi afsos nahin
oos ka insaaf main nay moqa per hi ker diya




ab oos per QATAL E AMAD ka case file hua hai

aap kay dil ki adalat kya kehti hai
aap kay dimagh ka judge kya faisla sunata hai
NADEEM NAY THEEK KIYA





*main nay khud hi ye topic S corner main post nahin kiya
reason ye hai kay wahan kam log jatay hain
aur main ye sab ko dikhana chahti hoon
aur aap itnay samjhdaar to hain hi kay topic jo hai oos ko waisa hi rehnay dain gay
thx



OMG!

Posted on 6/23/2006 8:03:16 PM

new_beau:
My Opinion:

Nadeem's Action is Wrong
No Body has a right to do FAISLA ON THE SPOT.

Jazbatiyat ko Control kernay kay liyey hi Qanoon banaye jaatay hainn.

I respect his feelings. But I dont allow him to do this.




yeh right
i agrre

same view as mine

Posted on 6/23/2006 11:45:23 PM

I will post further details abt this case on monday

Posted on 6/24/2006 7:47:52 PM

ok sis

Posted on 6/24/2006 7:59:33 PM

sorry i am sick is leay jawab na daysaka

main nain app sub ki post read ki and har insan ki apni soch,,
hum log kahtain hain rules follow karooo,rules banayoo,
rules kay khaylaf mat jayoo,laken kabi kiya app nain socha kay rules to bana rahy hoo dosra is kay bary main kia sochy ga,is kay kiya kia bad and good result hoon gain,nai hum sirf aik soch jo aa jay humary brain main us par arr jatain hain,,

nadeem nain jo kiya wo is leay galat nai coz pak main naam kay rules hain,doc us ko pagal kah dayty and adalat chor dayti,2 ya 4 jalsay hoty and phir sub bhool jaty,,
ager us ko jail main daal dayty to koyii na koyii us ko chorwa ker lay jata

nadeem nain wo kiya jo aik father aik bro aik son kerta haii us nain apnain app ko us ki betiyon ki jaga rukha and saza dii,

abb ho ga kiya
hona yay haii kay har insan aik soch main par gia haii aik mushkil main kay ager us ki jaga hum hoty to humara bi yay haal hota..

us ko kam saza dayna ya zayda yay ALLAH KI MARZI THII AND ALLAH CHAHATA HO GA KAY US KO SAZA UPPER MILY YA NA MILY OR JO BI ALLAH NAIN PASSEND KIYA wo howa


Posted on 6/25/2006 2:37:26 PM