Logo

~ Abb jo bicherey hain tu ...............


aab jo bichery hian tu ehsas hoy hai hum ko

dard kiya hota hia tanhai kisey kehtey hain

char so ghonjti ruswayee kisey kehtey hain

aab jo bicherey hian tu ehsas hoya hai hum ko

koi lamha ho teri yaad mein kho jatey hain

ab tu khud ko bhi muyasar nahi aapatey hain

raat ho din ho teray piyar mein hum bhetey hain

dard kiya hia hota hia tanhai kisey kehtey hian

aab jo bicherey hain tu ehsas hoya hai hum ko

jo bhi ghum aye usey dil per shaha kartey they

eik woh wakt tha k hum mil ker raha kartey they

aab akeley hee zamaney k sitam sehtey hain

dard kiya hia hota hia tanhai kisey kehtey hian

aab jo bicherey hain tu ehsas hoya hai hum ko

hum ney khud hee apney rastey mein bicheye kantey

ghar mein pholoon kee jaga laa k sajaye kantey

zakhm is dil mein basaye hoye khud rehtey hain

dard kiya hia hota hia tanhai kisey kehtey hian

aab jo bicherey hain tu ehsas hoya hai hum ko

yun tu duniya kee her eik cheeze haseen hoti hia

piyar sey bhar k magar khuch bhi nahi hoti hai

rasta rook k her ek sey yehi kehtey hain

aab jo bichery hian tu ehsas hoy hai hum ko

dard kiya hota hia tanhai kisey kehtey hain

char so ghonjti ruswayee kisey kehtey hain

aab jo bicherey hian tu............................


<Wasi Shah>

Posted on 10/9/2006 9:49:27 PM

baba jee chadooo udassi

Posted on 10/9/2006 10:56:50 PM

nice pher chuki hon

Posted on 10/10/2006 12:36:51 AM


very good

Posted on 10/10/2006 6:44:54 AM

insaan ko bicherney k baad mein kafi baatoon ka ehsas hota hai .... kiya khoya hai kiya paya hai

Posted on 10/10/2006 9:21:02 AM