Logo

tanha bana diya

sab se chupa ke derd jab wo muskura diya
uski hunsi ne tu aj mujhko rula diya

lehjey se uth rahi thi her ek derd ki dastan
chehra bata raha tha ke sab kuch ganwa diya

awaz main thehrao tha ankhon main nami thi
aur keh raha tha ke main ne sab kuch bhula diya

jane kiya usko logon se theen shikayatain
tanhayion ke des main khud ko basa diya

khud bhi woh hum se bichar ke adhora sa ho giya
mujhko bhi itne logon main tanha bana diya

Posted on 10/30/2006 11:58:12 AM

jane kiya usko logon se theen shikayatain
tanhayion ke des main khud ko basa diya


Nice Mahi jee

Posted on 10/30/2006 5:50:07 PM

very nice

Posted on 10/30/2006 10:43:47 PM

wah jee wah

Posted on 10/30/2006 11:44:34 PM