tu mera nam na pocha kar
main tare zat ka hisa hoon
main tarey soch main shamil hoon
main tare nend ka Qisa hoon
main tarey khawab ka hasil hoon
main tare yad ka mehwar hoon
main tare sans ka jhonka hoon
to manzer , main bas-munzir hoon
main lumha hoon, main jazba hoon
jazbey ka koe nam nahi
to mera nam na pocha kar........!
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
KOI TO HOTA....
mai jis k dil ki kitaab benta
mai jis ki chahet ka khawab benta
mai hijr k mosem ki lembi raaton mein
yaad ben ker azaab benta
KOI TO HOTA.....
jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota
dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota
mai rooth jata manata mujh ko
k chahe mera kasoor hota
KOI TO HOTA....
mai jis k itna kareeb hota
na paas koi rakeeb hota
mai itna uus ka habeeb hota
ye silsila bhi ajeeb hota
KOI TO HOTA........
KOI TO.....KOI TO HOTA.
Bara Dushwar hota ha
zara sa faisla kerna
keh jevan ki kahani ko
byane-bayzubani ko
kahan say yad rakhna ha
kahan se bhool jana ha
kise kitna batana ha
kise kitna chupana ha
kahan ro ro ker hansna ha
kaha hans hans ke rona ha
kaha awaz daini ha
kaha khamosh rehna ha
kaha rasta badlna ha
kaha say lot ana ha
BARA dushwar hota hay
Zara sa faisla kerna
Wo apni hai ya begani........ achha lagta hai,
Do pal uske saath bitana.. achha lagta hai,
Roz bahane kar ke jana.. achha lagta hai,
Ik jhalak bhi uski pana.. achha lagta hai,
Kahne ko jab chaanhu.. haan kar degi wo,
Lekin phir bhi uska.. na na achha lagata hai,
Uski baat kuchh alag hai.. mujhko kuchh bhi kah le,
Aashiq, pagal ya deewana.. achha lagta hai,
Usko log shama kahte hain.. muskati hai wo,
Mujhko kahte hai parwana.. achha lagta hai,
Rishta hai na jane.. mera usse kaya,
Mere khawabo me bhi uska aana.. achha lagta hai.
Suna hoga bohat tum ne
Kahin aankhon ki rim jhim ka
Kahin palkon ki shabnam ka
Parha hoga bohat tum ne
Kahin lehje ki barish ka
Kahin saagar k aansoo ka
Magar tum ne kabhi humdam
Kahin dekhey? Kahin parkhey?
Kisi Tehreer K Aansoo...!
Mujhe teri judaai ne
Yehi mairaaj bakhshi hai
K main jo lafz likhta hoon
Wo sarey lafz rotey hain
K main jo harf bunta hoon
Wo sarey bain karte hain
Mere sang is judaai main
Mere alfaz marte hain
Sabhi tareef kartay hain
Meri tehreer ki lekin
Kabhi koi nahi sunta
Mere alfaz ki siski
Falak bhi jo hila daaley
Mere lafzon main hain shamil
Usi taaseer k aansoo
Kabhi dekho mere humdam
Meri tehreer ke aansoo!
Tera dard tha, tere yaad thi..
Main jahan rha ,main jidhar giya..
Mera din to yun hi guzar giya..
Jo-hi sham hoe main bikher giya..
Is aber ka mere yaar say..
Bara milta julta mizaj hi..
Kabhi toot ker baras giya..
Kabhi bay rukhi say guzar giya..
Jab main chor doon ga woh gali...
Usy yaad ae gi tab mere..
Khojay ga woh tab mujhy..
Usy khabar milay gii main mer giya..
Abhi tang hi woh mere naam say..
Mere bad aee ga woh Dostooo..!!
Woh tumhi ko rok kay pochy ga..
Woh kahan peh hi , woh Kidhar giya.....!
Yeh Dil Mahobbat Karta Q Hai
Jo Karta Hai Tu Phir Tarapta Q Hai
Jo Beth Gaya Hai Dil Main Pyar Ka Dard Ban Key
Woh Ankhoon Key Rastey Nikalta Q Hai
Main Terey Sath Hun Har Rah Main Mujhsey Kehte The Woh
Tu Phir Aaj Yeh Rasta Mujhey Sunsan Lagta Q Hai
Main Dharkan Hon Us Key Dil Ki Woh Kehte The Mujhsey
Phir Aaj Us Ka Dil Merey Bina Dharakta Q Hai
Woh Mere Nahi Hai Yeh Janta Hon Main Phir Bhi
Kisi Or Key Sath Dekh Key Us Ko Dil Machalta Q Hai
Yeh Dil Bhi Ajeeb Hota Hai Dostoon
Kabhi Kehta Hai Ja Tham Ley Us Key Hathoon Ko
Phir Reh Reh Key Sambalta Q Hai
Har khushi hai logon ke Daaman me...
...Par ek HASI ke liye waqt nahi...!!!
Din raat daurti duniya me...
...Zindagi ke liye he waqt nahi...!!!
Maa ki lori ka ehesaas to hai...
...Par maa ko Maa kehne ka waqt nahi...!!!
Sare rishton ko to hum maar chuke hain...
...Ab unhe dafnane ka bhi waqt nahi...!!!
Sare naam mobile me hain...
...Par dosti ke liye waqt nahi...!!!
Ghairon ki kya baat kahen...
...Jab apnon ke liye he waqt nahi...!!!
Ankhon me hai neend barii...
...Par sone ko waqt nahi...!!!
Dil hai ghamon se bharaa hua...
...Par rone ko bhi waqt nahi...!!!
Paison ki daur me aise dauray...
...ki thakane ko bhi waqt nahi...!!!
Paraye ehesaso ki kya kadar karen...
...Jab apne sapano ke liye hi waqt nahi...!!!
Tu hi bata ay Zindagi...
...Is Zindagi ka kya hoga...!!
K har pal marny walon ko...
...jeeny ke liye bhi waqt nahi...!!!
K har pal mar ne walon ko...
...Jeeny ke liye bhi waqt nahi......!!!!!!!!