wafa sarasht nazar' dil ka kiya kiya jae
ujar gaya ya nagar'dil ka kiya kiya jae
tumhe hawas mai rakhna khasar~e~jaan hai
tumhe bhula dain' magar dil ka kiya kiya jae
kise muhabbat mai intehaon ka hosh
kise ho dil ki khabar' dil ka kiya kiya jae'
teri talash ki pehum kisi musafat se
chala to jaoon mai ghar'dil ka kiya kiya jae
mai eski yaad ko dil ki panah mai dedoon
koi bata deeagar'dil ka kiya kiya jae
kab tha gard~e~safar aur ab ya mera dil
tumhari rah guzar'dil ka kiya kiya jae