Jab sawan main tanha bheego gay
jab aangan khalii paogay
jab sahil se takrati lehron main
apni tanhai main kho jaogay
jab raat k tanha daaman main
tum chand ko aadha paogay
jab khud se baatain kartay kartay
tum door kahin kho jaogay
jab dil ki baat chupanay ko
hum se nazar tum churao gay
main tumse mohabbat karta hoon
har baar ye sunna chaho gay
uss din tum jaan lena
k tum, tum nahi
humara pyar ban jao gay......